Tuesday, March 20, 2012

Kyun gumsum hoon main aaj

kora ek kaagaz ka tukda liye baitha hoon main aaj,
likhna hai, par jaane kahaan khoya hoon main aaj,
likhna hai bahut kuch par shuru kahaan se karun,
ek haseen khwaab ke baare me mujhe likhna hai aaj,

dekha hai maine khwaab me haseen sanam ka chehra,
us chehre ko dekh jaane kahaan khoya hoon main aaj,
dekha hai maine ek masoom sa chehra khwaab me apne,
uski reshmi julfon ke saaye me khoya hoon main aaj,

aake mere khwaab me usne seene se lagaaya tha mujhe,
paas aake bade pyaar se gaalon ko sehlaaya tha usne,
hothon ko chhoo ke mere kaano me kuch boli bhi thi wo,
kuch pal ka hi sahi par dil ko mere behlaaya tha usne,

main to nadaan tha na samajh saka wo khwaab hi tha,
us khwaab ko sachchaai samajh khush hoon main aaj,
aaya hoon likhne par kuch bhi to main likh na sakun,
apne is haalat ka khud hi zimmedaar hoon main aaj,

na mujhe hosh hai khud ka na khabar kisi ki abhi,
kuch to huwa hai aisa ki paagal sa hoon main aaj,
kya ise meri mohabbat samjhun ya kuch aur hai ye,
koi aake bataaye zaraa kyun gumsum hoon main aaj...

No comments:

Post a Comment