Tuesday, March 20, 2012

Jabse tumhaari galiyon se mera aana jaana huwa

jabse tumhaari galiyon se mera aana jaana huwa,
to kehne lage log dekho ek aur deewaana huwa,

humein to maloom hi nahi deewangi kya hoti hai,
par har baar tumko dekh mera thahar jaana huwa,

jab bhi nikalti ho tum saj sawarke apne gharse,
mere paagal dil ka har baar machal jaana huwa,

khuli julfon me tumhe dekha hai humne kai baar,
lagaa jaise ghane baadalon ka baras jaana huwa,

shabnami honth tumhaare jaise ho maye ke pyaale,
unhe dekh har baar mera nashe me doob jaana huwa,

baahon me bharne ki tumhe hai khwaaish hamaari,
par is khwaish ka seene me dafan ho jaana huwa,

kahaan tum mahalon ki raani aur main ek tinka,
bas tumhe dekh kar hi dil ka bahal jaana huwa,

hum to ye soch ke chal lete hain ki tum dikh jao,
par humein dekh tumhaara har baar palat jaana huwa,

jabse tumhaari galiyon se mera aana jaana huwa,
tumhe dekh roz ek naye ghazal ka ban jaana huwa...

No comments:

Post a Comment