Saturday, August 21, 2010

Chaahat hai ki nahi hai

maine dekha hai usko mohabbat me hadd se guzarte,
meri chaahat me dekha hai usko kuch bhi karte,
keh dun agar main kuch bhi use bhoole se bhi,
dekha hai maine use wo har baar poora karte,
ye bataa do koi mujhe ki haqeeqat kya hai,
meri chaahat ko mujhse chaahat hai ki nahi hai,

dekha hai usko mere gum me aansoo bahaate,
dekha hai usko mujhse dur rehkar tadapte,
agar na kar paaun baat main kuch palo tak,
dekha hai usko maine pareshaan hote,
koi bataa de mujhko ki sach kya hai,
meri chaahat ko mujhse chaahat hai ki nahi hai,

kehti thi har baar wo ki tum ho mere,
jeena mushkil hai hamaara bin tumhaare,
chhod ke ye duniya saari ho jaun tumhaari,
rehna hai mujhe zindagi bhar sang tumhaare,
sochta hoon uski un baaton ka raaz kya hai,
meri chaahat ko mujhse chaahat hai ki nahi hai,

kal tha dekha usko maine doli me jaate,
sang kisike usko dekha tha muskuraate,
khush hai wo meri mohabbat se dur jaake,
maang me kisi aur ke naam ka sindoor sajaake,
ye bataa do koi mujhe ki haqeeqat kya hai,
meri chaahat ko mujhse chaahat hai ki nahi hai...

No comments:

Post a Comment