Monday, August 30, 2010

Na saathi na koi sahaara hai

raatein jab chaandni hoti hai,
hum khidki se jhaanka karte hain,
aasmaan ke us chaand me hum,
apne chaand ko dhunda karte hain,

taaron se saji hai raat magar,
tum bin hum to tanha hain,
kis kaam ki chaandni hai, jab
dur humse hamaari chandaa hai,

un raahon pe ab hum na milenge,
wo chauraahe ab anjaane hain,
shahar tumhaara chhod chuke hain,
wo galiyaan lage puraane hain,

lehron me saagar ke beh rahe hain,
na kashti hai, na koi kinara hai,
bheed me bhi hum tanhaa hai,
na saathi hai, na koi sahaara hai...

No comments:

Post a Comment