Sunday, August 22, 2010

Raahi hoon mai jeewan ka

raahi hoon main jeewan ka, jeewan me chalte jaana hai,
kya paana kya khona hai, kismat ka yahi fasaana hai,

aahsaayein hi jeewan hai, unka saath nibhaana hai,
saath leke unko safar mein humko chalte jaana hai,

bich safar me aayengi badhaayein pahaad banke,
baadhaon ko paar karke humko badhte jaana hai,

na sangi ho, na saathi ho, na ghum ka koi bhaagi ho,
aaye the jahaan me akele, akele hi laut jaana hai,

kya chaahe hum daulat ko, daulat to haath ka mail hai,
pehli baarish ke paani me, usko to dhul hi jaana hai,

insaan banke aaye hain, insaan ka saath nibhaana hai,
chalna hi zindagaani hai, humko chalte hi jaana hai...

No comments:

Post a Comment