Monday, August 16, 2010

Aajkal ke bachche

aaj khoon ke rishton ki koi ehmiyat nahi hoti,
budhe maa baap ki santaan kabhi unki apni nahi hoti,

bachpan se jise paal poske bada karte hain,
wahi jarurat ke samay kabhi apni nahi hoti,

khud bhoonke rehkar bachcho ko khana khilaate the,
aaj unhi maa baap ke muh me roti tak nahi hoti,

apni khushiyon ko alag rakhkar sab khushiyaan bachchon ko di,
aaj unhi maa baap ke hothon pe muskaan tak nahi hoti,

jis chiraag se apne ghar ko roshan karne ka socha tha,
aaj usi chiraag me unke liye raakh tak nahi hoti,

raaton ko jo jaag jaag kar bachchon ko sulaaya karte the,
aaj unki ki aankhon me chain ki neend tak nahi hoti,

arthi ko kaandha dene ke liye gairon ki madat leni padti hai,
kuch arthiyon ko apne bachchon ke haathon ki aag tak naseeb nahi hoti...

No comments:

Post a Comment