Saturday, August 21, 2010

Ae ajnabi

ajnabi tum kuch jaane pehchaane se lagte ho,
mujhe tum kuch kuch apne se ab lagte ho,
kya rishta hai tumse, kya naata hai tumse,
tum mujhe apne dil ke bahut kareeb lagte ho,
na jaanu main, par tum anjaane se nahi lagte ho,
ae ajnabi tum mujhe jaane pehchaane se lagte ho,

baatein tumhaari ab mujhe achchi lagne lagi hain,
yaadein tumhaari ab shaam-o-seher aane lagi hain,
khoya rahun khayalon me unme bhi tum hi ho ab,
tumhaari muskaan ab har taraf nazar aane lagi hain,
har chehre me ab tum mujhe apna chehra dikhlaate ho,
ae ajnabi tum mujhe jaane pehchaane se lagte ho,

milta hoon tumse to lagta hai barso se jaanta hoon,
jaise tumhaari khushboo ko main pehchaanta hoon,
aawaaz tumhaari kuch jaani pehchaani si lagti hai,
maano tumhaare har andaaz ko main pehle se jaanta hoon,
ajnabi tum mujhe koi dost puraane se lagte ho,
ae ajnabi tum mujhe jaane pehchaane se lagte ho...

No comments:

Post a Comment