Thursday, August 26, 2010

Meri behna

tujhe aaj ke din main kya tohfa du,
mere liye ek anmol tohfa hai tu,
maanga tha bhagwaan se apne liye khushi,
mere khushi ka rang leke aayi hai tu,

wo teri shararatein, teri badmashiyaan,
har pal mere sang teri shaitaaniyaan,
chaahe ho wo din bachpan ka, chaahe aaj ka,
mausam ye nahi badla hamaare pyaar ka,

kabhi ladna , kabhi jhagadna,
kabhi beshoomaar pyaar karna,
kabhi maa se shikaayat karna,
kabhi papa se chugli karna,

daant kabhi khaake unse,
tera mere paas aana,
kuch pal aansoo bahaake,
fir mere sang ghul jaana,

ye rishta hai mera tujhse aisa,
maano bandha ho kisi dor se,
chaahe karle koi kitni bhi koshish,
ye bandhan na toote kisi ke zor se,

ye rishta hai hamaare pyaar ka,
maa papa se mile sanskaar ka,
mera rishta to hai tujhse meri behna,
ye rishtaa hai aetbaar ka,

baant sakta hoon tujhse har sukh dukh,
meri sabse achchi dost hai tu,
chaahta hoon har pal khushiyan teri,
mujhe sabse pyaari meri behna hai tu...

No comments:

Post a Comment