Sunday, August 22, 2010

Main tera intezaar karta hoon

aaj bhi aisa lagta hai, aake seene se lag jaayegi tu,
naam tera pukaarun main, aur daudi chali aayegi tu,
tujhse chaahe dur hoon par dhadkan ab bhi tere paas hai,
tut gaye hain sapne saare par ab bhi tujhe paane ki aas hai,

mujhe rote huye na dekhle tu isliye main chehra chhupaata hoon,
har lamha main tujhe bas apna muskuraata hua chehra dikhaata hoon,
main nahi chaahta ki tu mujhe mere aansoo dekh ke chaahne lage,
main tujhse daya ki bheek nahi, mai to teri mohabbat chaahta hoon,

aaj bhi teri raahon pe main nazre bichaayen baitha hoon,
maine mohabbat ki thi tujhse main aaj bhi tujhe chaahta hoon,
wo gulaab jo tu ne mujhe mohabbat ke saath diya tha kabhi,
kitaab me rakhe us sukhe gulaab ki khushboo mehsoos karta hoon,

band kamre ki khaali deewaaron pe main teri tasveer sajaata hoon,
tere likhe geeton ko main aaj tanhaayi me gungunaata hoon,
aisi bhi kya naraazgi humse ki chhod gayi tu mujhko yun tanha,
main uparwaale se bas teri mohabbat ki ek nazar chaahta hoon,

tere aane ka aetbaar tha mujhe, main aaj bhi aetbaar karta hoon,
maine kahaa tha main intezaar karunga, main aaj bhi karta hoon...

No comments:

Post a Comment