Monday, August 16, 2010

Mere pyaar ki moorat

leke laali us suraj se main tere hothon ko laal karta hoon,
leke paani sagar se main tere aankhon ko giley karta hoon,
leke shyaam rang baadal se teri aankhon pe kaajal lagaata hoon,
barish ki boondon se main tere aankhon ko sajaata hoon,
aankhein band karke main tere pyaar ki moorat banaata hoon,
apne khwaabon me main teri pyaari si surat sajaata hoon,

chaand ki chaandni se tere maathe ki bindi sajaata hoon,
indradhanush ke har rang se main tujhko yun nehlaata hoon,
os ki boondon se tere hothon ko main bhigota hoon,
kamal ke phoolon se main tere gaalon ko rangta hoon,
kuch aise hi pyaari si main teri moorat banaata hoon,
apne khwaabon me main teri pyaari surat sajaata hoon,

bijli ki har chamak se tere hothon ki muskaan sajaata hoon,
har raat khwaabon me apne main tujhko gale lagaata hoon,
apne hi khwaabon me main tere rang me yun rang jaata hoon,
teri chaahat ke bandhan se main tujhse hi bandh jaata hoon,
har raat khwaab me main teri pyaar ki moorat banaata hoon,
khul jaati jab neend hai meri, main mann hi mann pachhtaata hoon...

No comments:

Post a Comment