Thursday, August 26, 2010

Tujhe hi hum khuda kehte hain

kuch afsaane shabdon se nahi, khamoshi se bayaan ho jaate hain,
zubaan khaamosh rehti hai par nigaahon se bayaan ho jaate hain,

tujhko shaayad khabar nahi ki tere khwaabon me chupke se aate hain,
raat ko jab tu soti hai hum hawa ban tere gaalon ko sehlaate hain,

julfon se tere khelte hain hum, kabhi unme hi hum chhup jaate hain,
teri gulabi hothon ki taazgi ko apne hothon ka ras hum pilaate hain,

mehsoos to tu bhi karti hogi mujhe raat ko apni baahon me,
khwaabon me bhi rakhti hogi tu mujhko apni chaahon me,

lab hamaare chaahe kuch na kahen par dil ki dhadkan kehti hai,
hum har pal chahen chup hi rahen par dil me tu hamaare rehti hai,

yaadon me tujhe hum rakhte nahi hain, hum dhadkan banaake rakhte hain,
teri pyaari ek tasveer ko har lamha hum seene se lagaake rakhte hain,

chaahe humse tu kuch bhi na kahe, par hum aaj ye sach tujhe kehte hain,
bas tujhse hi humko mohabbat hai aur tujhe hi hum khuda kehte hain....

No comments:

Post a Comment