Monday, August 30, 2010

Mohabbat - ek ehsaas

kabhi koshish nahi ki is zamaane ko samajhne ki,
main to bas tumhe samajhne ki koshish karta raha,
kaise tumhaari muskaan tumhaare hothon pe bani rahe,
main to bas is raaz ko samajhne ki koshish karta raha,

main naadaan bhalaa kya jaanu tanhaayi kya hoti hai,
har lamha tumhaare saaye ka saath mehsoos karta raha,
maine kabhi koshish nahi ki tumhaari baat samajhne ki,
tumhaari khaamoshi ko hi main tumhaari awaaz samajhta raha,

main bhala kya dekh paata tumhaare aankhon ke sapno ko,
main tumhaari aankhon ko dekh har pal unhi me khoya raha,
nazar hi nahi padi kabhi tumhaare hothon pe meri,
sang tumhaare khud ko hi tumhaari parchhai samajhta raha,

main bhalaa kya tumhaari uljhano ko suljhaata yahaan pe,
main har pal apne hi uljhano me jaane kyun ulajhta raha,
dekha hai maine har ghadi tumhe hothon pe muskaan sajaate,
main tumhaari muskaan ko hi sabse bada sach samajhta raha,

is samajhne samjhaane me hi zaalim waqt guzarta raha,
izhaar nahi kar sakaa par intezaar main karta raha,
tum baithi rahi ki main aake paheli suljhaun tumhaari,
aur mohabbat ko main koi paheli nahi, ehsaas samajhta raha...

No comments:

Post a Comment