Teri yaadein
tere zulfein yaad aati hain jab bhi yahaan shaam hoti hai
aur har roz hum ghar laut_te un panchhiyon ko dekhte hain
jo sawere chaaron ki talaash mein ghoslon se udd gayi thi
ek ummeed si jagti hai ki ek din tu bhi laut aayegi... ghar apne...
aake fir ek baar meraa yeh ghar, apne rang mein sajaa degi
fir se saweraa waisaa hi hogaa jaisaa huwaa kartaa thaa
jab tu thi, kareeb mere, meri baahon mein, har pal, har lamhaa
jab raat kaa andheraa teri roshni se duur ho jaataa thaa...
yaad to hogaa tujhe bhi, woh haseen se lamhe tere mere saath ke
jab ghanton hum ek dusre kaa haath thaamke baaton mein khoye rehte the
jab waqt kaa pataa hi nahi chaltaa thaa kaise guzar jaayaa karti thi
doobe rehte the hum, guum se rehte the hum ek duje ki aankhon mein...
aksar woh teri khilkhilaati hasi paagal banaa jaati hai mujhe
meri chhoti chhoti baaton ko kitne dhyaan se tu sunti thi
kabhi apne naakhoon ko daanton se kaat_ti, kabhi apni anguthi se khelti
kabhi main chhuu loon teraa haath to kaise sharmaa jaayaa karti thi...
yaad hai naa kaise tu pyaar se mujhse kehti thi 'Chhodo naa'
jab main teri kalaayi apne haathon mein thaam letaa thaa
apnaa chehraa chhipaane ki koshish mein tu kaise laal ho jaayaa karti thi
uuuuuffffff ek ek lamhaa un mulaaqaaton kaa jaise ab bhi jiwit ho...
haan sach hai, bas duur huwe hain hum jismon se, rooh se nahi
ab bhi mere har ehsaas mein tu aakar mujhe cheed jaati hai
din mein, raat men, jo bhi karun main, har us kaam mein tu dikhti hai
har baar mujhe ehsaas dilaati hai ki tu ab bhi kareeb hai... mere paas hai...
jaantaa hoon main ki teri duniyaa alag hai ab, mujhse bahut judaa hai
bas yahi wajah hai ki main kehtaa nahi ki tu aajaa sab chhod ke ... paas mere
magar main bas is ummeed se jeetaa jaataa hoon ki kabhi to fir milegi mujhse
bas ek baar.. bas ek deedaar ke liye main tadaptaa rehtaa hoon.... sach...
duur se hi sahi.. kabhi mujhe nazar aa jaaye.. duniyaa ke kisi kone mein
bas ek jhalak tujhe dekh loon... mehsoos kar loon tujhse fir se ek baar...
dekh loon tujhe to shaayad har shaam fir aisi sooni naa lage.. kuch khaas ho...
ek chehraa teraa... shaam ke rang ko bhi badal degaa.... tere hi rang mein...hai naa...