Thursday, October 3, 2013

Saazish

tumhaare aate hi jamke baras jaanaa, boondon ki saazish hai
tumhaari khushboo mein mehek jaanaa, phoolon ki saazish hai

yun to nashaa chadh paayaa nahi humpe kabhi sharaab kaa bhi
magar tumhaare aate hi behek jaanaa, zaroor koi saazish hai

kab se sambhaale rakhaa thaa maine kadmon ko ladkhadaane se
tumhaare aate hi meraa gir jaanaa, in kadmon ki saazish hai

baandhe rakhaa thaa maine apne dilko ki udd naa jaaye kahin
dekh tumhe is kaa lut jaanaa, haseen aankhon ki saazish hai

saazish hai ab to har taraf, har dishaa mein, hawaaon mein
mujhe apne sangh udaake le jaanaa, in hawaaon ki saazish hai

jaantaa hoon main kasoor yeh meraa nahi hai tumpe mar mitnaa
meraa tumse mohabbat ho jaanaa, bataao naa kiski saazish hai

No comments:

Post a Comment