Friday, October 11, 2013

Andheraa

sau chiraagon se bhi roshni naa hui ghar mein mere
shamshaan jaisaa lagtaa hai ab is shahar mein mere

main woh khilaunaa hoon jisko kai baar todaa gayaa
baar baar tootke bikhar jaanaa hai hunar mein mere

yun bikhraa hoon ab ki baar ki kyaa bataaun yaaron
khwaab hai raat kaa naa haqeeqat dopahar mein mere

kyaa dosh dun zamaane ko aur kisse shikaayat karun
tum se judaa honaa shaayad thaa muqaddar mein mere

rekhaayein bhi haath ki mere dhundli si lagti hain
tanhaiyaan ghumti rehti hai ab to khabar mein mere

kaun sambhaale ab mujhe agar ladkhadaa jaaun kabhi
koi humsafar nahi hai jeewan ke is safar mein mere

naa koi pehchaan hai naa hi koi wajood hai ab meraa
rehtaa hoon ab ajnabi ki tarhaa main ghar mein mere

No comments:

Post a Comment