Saturday, October 26, 2013

Deewano se hum lagne lage

jabse tere nainaa thagne lage hain
deewaano se hum to lagne lage hain

din guzaar dete hain tere hi sangh
hum raat raat bhar jagne lage hain


naa karo itni mohabbat ki zindagi kam lagne lage
sambhaalo humein, naa deewaano se hum lagne lage

dekhaa hai jab se sharaab si tumhaari aankhon ko
tabse ladkhadaate se hamaare do kadam lagne lage

khoke tumhaari gehri do aankhon ke samundar mein
kabhi doobte, to kabhi tairte se hum  lagne lage

yun aadat lagi hai ab humein tumhaari jaane jaan
ki humein achche hamaare hi har karam lagne lage

khoobsoorat lagne lagi hai zindagi ab to hamaari
har khwaab hamaare haseen ab to sanam lagne lage

khaa len har kasam ab tumhaari khushi ki khaatir
aasaan humein waade, hamaare har kasam lagne lage

kaanton mein ab dard jaisaa kuch baaki naa rahaa
phoolon jaise zamaane ke zulm-o-sitam lagne lage

sunte the kisse lailaa majnu, shireen farhaad ke
kuch huwaa aisaa ki ab unhi jaise hum lagne lage

jaise jaise kam huwi dooriyaan darmiyaan hamaare
dil mein hamaare mohabbat ke sholay sulagne lage

der naa lagi humein tan mann se ek ho jaane mein
jaise tum hamaare ho aur tumhaare hum lagne lage

No comments:

Post a Comment