Saturday, October 5, 2013

Woh deewaane aur hi the

lailaa majnu shireen farhad, woh afsaane aur hi the
ishq ko khudaa samajhte jo, woh mastaane aur hi the

ab to do pal ke saath ko log mohabbat samajhte hain
jaan bhi den mohabbat mein, woh deewaane aur hi the

aajkal ke parwaane, bas dekh aag ghabraa jaate hain
jal gaye jo mohabbat mein, aise parwaane aur hi the

doob ke dekhaa botal mein, nashe kaa kuch asar nahi
jo chhalak jaate the kabhi, woh paimaane aur hi the

sooni si mehfil hai, ghazal kaa naam-o-nishaan nahi
hothon se jo utren nahi woh geet puraane aur hi the

aankhon ke kaajal ki aur zulfon ke baadal ki baatein
aisi haseen taarif kare koi, woh zamaane aur hi the

likhtaa hai ab 'Hriday', bhool log jaate hain jaldi
taaliyaan jin par bajti thi, woh taraane aur hi the

No comments:

Post a Comment