Thursday, October 10, 2013

Pyaar kar ke dekho naa

mere in baazuon mein khud ko bhar ke dekho naa
meri mohabbat mein toot ke bikhar ke dekho naa

aainaa bhi paani paani ho jaaye tumhe dekh kar
mere aankhon ke aaine mein sanwar ke dekho naa

kitni khobsoorat hai yeh zindagi jaan loge tum
kabhi ishq ki raahon se tum guzar ke dekho naa

aasaan hai bahut yeh safar zindagi kaa jaan lo
parindon ki tarhaa par failaa kar ke dekho naa

mushkil nahi hai tairke samundar ko paar karnaa
kabhi to paani mein tum khud utar ke dekho naa

khushiyon ke phool bichhaa dungaa raahon mein
jaanaa ! ek baar mujhse pyaar kar ke dekho naa

No comments:

Post a Comment