Monday, October 7, 2013

Tujhse pyaar karungaa

tere maan jaane tak main teraa intezaar karungaa
tu naa kare naa sahi, main tujhse pyaar karungaa

ret pe ghar banaake lehron se bachaa lungaa main
toot jaaye kabhi agar use firse tayyaar karungaa

taaj banaa ke kaarigar ne apne haath gawaaye the
tere liye apni zindagi hi tujhpe nisaar karungaa

khwaahish hai dilki teri aankhon mein doob jaaye
doob teri aankhon mein tere dil ko paar karungaa

bujh jaaye koi chiraag hawaa ke jhaunke se kabhi
khud ko jalaa ke main roshni mere yaar karungaa

maut aajaaye gar kabhi 'Hriday' ko mohabbat mein
teri khushiyon ke liye duwaayein hazaar karungaa

No comments:

Post a Comment