Tuesday, October 29, 2013

Shaayad hum muskuraate nahi

hum chhip chhip ke aapkaa aksar humse sharmaanaa dekhte hain
zulfon ki aad mein chhipaake chehraa muskuraanaa dekhte hain

jaante hain hum bhi aapko jalan hoti hai kisi aur ko dekhlen
har baar aap kaa mohabbat ki aag mein jal jaanaa dekhte hain



naa ji naa sanam hum aap se nazar churaate nahi
yakeen hai aap par is liye aap ko aazmaate nahi

jab bhi aap hamaare kareeb aane kaa sochtey ho
kyaa karen hum, bas hum yahi samajh paate nahi

haalat hi apni deewaano si ho jaati hai jaanaa
hum jaan bujhkar kabhi bhi aap ko tadpaate nahi

aap kaa naam jahaan aayaa, woh ghazal kehlaayaa
ban khud jaati hai, hum koi ghazal banaate nahi

daulat yaa rutbaa kyaa zindagi hain aap hamaari
magar hothon se aapko yeh baat hum bataate nahi

hai mohabbat humein bepanaah aapse yeh sach hai
magar dilki baat aapse hum kabhi keh paate nahi

kyaa bataayen hum aapko, kyaa hain hamaare liye
naa hote aap hamaare, hum kabhi muskuraate nahi

sirf ek naam 'Hriday' hi rehte is zamaane mein
is tarhaa aap ke geeton ki wajah ban paate nahi

ek aapki mohabbat hi hai jeene ki wajah hamaari
naa hoti mohabbat to shaayad hum jee paate nahi

No comments:

Post a Comment