Sunday, December 8, 2013

Tumhaari yaadon mein rehtaa hoon

main tumhaari baahon me na sahi tumhaari chaahon me rehta hoon,
chaahe tumse meelon duur hoon par tumhaari yaadon me rehta hoon,

mehek tumhaare saanson ki aaj bhi mere saanson ko mehkaati hai,
kya hua agar tumhaare saamne nahi, tumhaari dhadkano me rehta hoon,

tumhaare har ek geet me main hi rehta hoon ye hai pata mujhe,
yaaron ki mehfil me main bas tumhaaare hi geet sunaata hoon,

jaanta hoon kya betaabi hai tumhaare dil ki, kyun paagal ho tum,
main kisi aur ki nahi bas tumhaare yaadon ki qaid me rehta hoon,

lab khaamosh hai tumhaare aaj, uski wajah bhi jaanta hoon main,
samajhta hoon sab par nasamajh ban main ab bas chup rehta hoon,

har shaam yaadon ka aake chhedna kisi toofaan se kam nahi hota,
main ek bikhra hua tinka, toofaan se har pal ladta rehta hoon,

kasak to aaj bhi uth_ti hai is hriday me tumhaare pyaar ki,
par main, haar ke apni zindagi, is zindagi ko jeeta rehta hoon....

No comments:

Post a Comment