Monday, November 11, 2013

Ek aur ilzaam sahi

miley hazaaron humein, ek nayaa ilzaam sahi
ghamon ke samundar mein gham kaa inaam sahi

kisine paagal kahaa, kisine kahaa deewaanaa 
bewafaa jo naam diyaa, ab to yahi naam sahi

raaste ke paththar ko har kisine thukraayaa
kisise hum kyaa kahen, thokrein tamaam sahi

dard leke hi aaye the, dard leke jaanaa hai
dard har subah ab, dard bhari har shaam sahi

maikhaane ke chaukhat pe apnaa thikaanaa ho
apne kismat mein yaaron botal aur jaam sahi

apne kis kaam ke mohabbat bhare jo geet the
baazaar mein bech den kaudiyon ke daam sahi

apne alfaazon mein sur kahaan se laayen hum
ghazal nahi ban paaye ab, aur koi kaam sahi

muskaan kabhi aayi nahi sukhey in hothon par
maut gale lagaa len hum, maut hi aaraam sahi

jee to hum paaye nahi, mar mar ke jeete rahe
dard bhare is jeewan kaa dard hi anjaam sahi

No comments:

Post a Comment