Wednesday, December 19, 2012

Zaruri thaa shaayad

tumhaaraa meri zindagi me firse aanaa zaruri thaa shaayaad
achaanak se tumhaaraa ek din aanaa zaruri thaa shaayad

judaa ho ke tumse bikhraa padaa thaa main tinko ki tarhaa
mujhe fir se jodne ke liye tumhaaraa aanaa zaruri thaa shaayad

main to ab bhi isi bhram me thaa ki sab galtiyaan tumhaari thi
tumhaaraa ek baar aake meri galti bataanaa zaruri thaa shaayad

kyaa kartaa, tumhe naa paake lagaa kho diyaa ho saaraa jahaan
tumhaaraa aake meraa apnaa jahaan lautaana zaruri thaa shaayad

ab bhi tumhe yaad to kartaa hoon, par pareshaan nahi kartaa
tumhaaraa aake mujhe ek baar samjhaanaa zaruri thaa shaayad......

No comments:

Post a Comment