Madhoshi
'bas itni si mohabbat hai mujhse
ki bhool jaate ho waadaa kar ke
karke gaye the waadaa ki aate hi phone karoge tum
aur us waade ko arsaa beet chukaa
naa tum aaye, naa tumhaaraa phone
main tarasti rahi tumse baat karne ko
main tarasti rahi tumhaari awaaz ke liye
tumhe to maaloom hai na ye sab
ki mar miti thi main tumhaari awaaz pe
tumhaari sharaaraton pe
tumhaari deewaangi pe
kyun satate ho mujhe is tarhaa
duur reh ke mujhse
chhiin lete ho karaar mere dil kaa
aur fir poochhte ho
kaisi ho tum? kyaa haal hain tumhaare....'
haan ye main tumhaari baat hi tumhe sunaa raha thaa
wo aawaaz jo sangeet ki tarha mere kaano me gunj rahi hai
tumse baat kar ke bas ek lamhaa hi beeta hogaa
magar tumhaari awaaz mere rag rag me fail gayi hai
kuch is tarhaa se ki chain nahi mil raha mujhe
soch rahaa hoon ki fir ek baar, ek baar fir se
uthaa loon apnaa phone haathon me aur karun call
do baatein aur kar loon tumse is raat main
sun loon tumhaari awaz main aur paagal ho jaaun
paagal to ab bhi hoon, magar shaayad thoda kam
kam isliye ki likh paa raha hoon
kam isliye ki bataa paa rahaa hoon
kuch der main tumse kuch is tarhaa baat kar loon
ki ho jaaun madhosh main, naa mujhe hosh rahe
aankhen band ho meri aur saamne bas tumhaari tasveer ho
tumhaari muskaan, tumhaari surat, aur tumhaari awaaz
uuuuuffffff... paagal ho raha hoon shaayad....
shaayaad main jaa rahaa hoon dheere dheere nashe me...
kaano me ab bhi tumhaari aawaaz gunj rahi hai...
keh rahi hai ab bhi mujhse....

'I love u jaanu, I love u'....
No comments:
Post a Comment