Tuesday, December 18, 2012

Kashtiyaaan

kashtiyon se to apna bahut puraanaa naataa hai
har baar hum bachaane ki koshish karte hain
aur ye har baar humein dubo jaatein hai

dikhaake saahil, jagaake aas dil me zindagi ki
ye bich raah me hi zindagi se duur le jaatein hain
haan ye kashtiyaan hi hain meri dushman

ab bhi main kashti par hi sawaar hoon
ek nahi do kashtiyon pe saath sawaar hoon
ek paaon idhar hai, ek udhar hai meraa
koshish kar ke bhi main kahin kaa nahi hoon

maloom nahi mujhe ki aage kyaa hogaaa
badhaa chukaa hoon kadam ab to bas chalnaa hogaa
mumkin nahi ki mud ke dekhlun pichhe kyaa hai
chhod diyaa hai kismat pe, hogaa jo bhi honaa hogaa

No comments:

Post a Comment