Monday, December 24, 2012

Maaf kar denaa mujhe

to suno... main apni kahaani tumhe sunaataa hoon
kyun nikla main bewafaa tumhe batataa hoon...
haan main bewafaa hoon, bewafaai ki hai maine
tumhaare saath, apne saath
magar shaayad kisi aur se nahi kar saktaa thaa
main kisi ko chot pahuchaa ke gunehgaar nahi ban saktaa thaa
haan yahi wajah thi ki maine dil todaa tumhaaraa
paththar rakh ke apne dil pe maine muh modaa tumse

wo saheli tumhari, jo tumhaari apni thi
kyaa sach me tumhaari bahut pyaari thi?
kyaa wo dost tumhaari tumhaare dil e bahut kareeb thi?
shaayad nahi, kyunki tum nahi jaanti thi ki
wo lad rahi thi apni zindagi aur maut se
pal pal ghut rahi thi
naa jee paa rahi thi naa mar paa rahi thi
ek aise rog ne use pakdaa huwaa thaa
jisme maut to nishchit thi magar kab ye maloom nahi

wo ghur ghut ke roz suraj ko dekhti muskuraati
fir wo udaas ho jaati thi... ki kab tak?
kab tak yunhi main jhoote dilaase deti rahungi apne dil ko
bas kahin se ye baat mere saamne aa gayi
kaun kartaa bhalaa shaadi kisi marne waale se

wo tumhaari saheli thi ye maoom thaa mujhe
aur milaa kai kai baar thaa main tumhaare saamne
uske sangh mere hasee mazaakh ko tumne dekhaa
kabhi jhaank ke uske dard ko dekhne ki koshish nahi ki

bas usko jaate jaate kuch palon ki khushi denaa chaahta thaa
main use kuch dino me duniyaa kaa har sukh denaa chaahtaa thaa
yahi wajah thi, maine tumhaaraa dil tod diyaa
kyunki main maut ke kareeb kisi ko zindagi dikhaanaa chaahtaa thaa

ho sake to maaf kar denaa mujhe meri bewafaai ke liye
maaf kar denaa mujhe mere har gunaah ke liye...

ho sake to mujhe maaf kar denaa....

No comments:

Post a Comment