Wednesday, December 19, 2012

Tumhe yaad karta hoon

dosh tumhe nahi detaa, mujhme hi kuch kami rahi hogi
yaa shaayad kismat ne hi mere saath dillagi ki hogi
majdhaar me meraa saath chhod ke mujhe tanhaa kar gaye
samajhtaa hoon, kuch to tumhaari bhi majboori rahi hogi

har subah apni khidki ke parde hataake dekhtaa hoon
shayad kisi roz tumhaaraa chehraa nazar aa jaaye
bhatak jaao tum apne ghar ka pataa dhundte huye
aur jaate huye meri gali se meraa ghar nazar aa jaaye

aanaa ho tumhaaraa kabhi is taraf to aake dekh lenaa
aaj bhi tumhaari tasveeron ko deewaaron pe sajaa rakhaa hai
tumhaare likhe khat, tumhaare diye huye wo khaas tohfe 
unhi se maine apne ghar ko sajaa rakhaa hai

mehek tumhaari aaj bhi aati hai un laal gulaabon se
jo tumne diye the mujhe kabhi pyaar ki nishani bataakar
yaad kartaa hoon apne milan ke wo lamhe aaj bhi main
unhi lamho ko kaagaz pe utaartaa hoon main geet banaakar

kyun rooth gaye tum, kyaa wajah thi is judaai ki
kuch kami thi mujhme, yaa bewajah hi tumne duuri badhaayi thi
jaanaa hi thaa to chale jaate kuch waqt pehle tum
dil ke itne kareeb aa ke dil tod jaanaa tumhaari bewafaai thi

main tadaptaa hoon ye soch ke ki tumne chot pahuchaayaa hai mujhe
har tadap ke saath, main tumhaare chehre ko yaad kartaa hoon
saans to letaa hoon, par har saans ke saath tumhaaraa naam letaa hoon
is baar tum meri nahi, agle har janam me tumhe paane fariyaad kartaa hoon

No comments:

Post a Comment