Bharosaa nahi thaa tumhe
kaash ek baar tumne ye baat pehle mujhse kahaa hotaa
kaash jitnaa bharosaa maine tumpe kiyaa tumne bhi kiyaa hota
sach kehte hain zamaane waale aaj samajh aaayaa mujhe
yeh ladkiyaan kisi pe bharosa nahi kar sakti
wo chaahe unki khud ki parchhayi hi kyun na ho
chaahe kitnaa bhi chaah le wo kisi ko
bhulaa dete hain ek jhatke me, rishtaa chaahe atoot kyun na ho
wo waade, wo kasme, wo saath bitaaye lamhe saare
khushi ke din, ghum ke din, wo haseen mulaquaatein saare
bas ek shaq kaafi hotaa hai, wo sab bhulaa dete hain...
tumne sirf ye dekhaa ki jo khat tumhe bhejaa kisi aur ke naam ki thi
jo geet tumhaare liye likhe, kisi aur ke naam se bhi sunaayaa
jo dulhan ka jodaa tumhaare liye thaa kisi aur ko bhi pehnaayaa thaa
par wajah kyaa thi... ye tumne kabhi nahi poochaa
kabhi poochhna bhi nahi chaahaa tumne... zaruri nahi samjhaa...
par zaruri tha shaayad....
jo aankhon dekhaa yaa kaano sunaa milaa tumko
bharosaa sirf usi pe kiya
kaash iskaa ek pratishat bhi mujhpe bharosaa kiyaa hota
aake poochhaa hotaa mujhse ki ..kyun.. bhalaa kyun??
jaan jaate tum haqeeqat saari
maan jaate ki main bewafaa nahi thaa
khair chhodo ab in baaton ka koi matlab nahi rahaa
khush raho tum apni duniyaa me jahaan ho tum
aur main bhi khush hoon apne barbaadiyon ke jahaan me
khush hoon main bas ye sochke ki saath tumhaaraa thaa
chaahe kuch pal kaa hi ho, par saath to thaa naa
zaruri to nahi ki jise hum chaahe, wo bhi humein chaahe
zaruri to nahi ki jispe hum bharosa kare, wo bhi humpe kare
kisi ne khob hi kahaa hai,
har kisi ko yahaan mann chaahaa jahan nahi miltaa
kisi ko zameen to kisi ko aasmaan nahi miltaa....
meraa jahaan bhi adhuraa hi rahaa, adhuraa rahegaa
tum nahi ho mere saath, ye kabhi bhi naa poora rahegaa
yaadon me tum rahoge sadaa mohabbat bankar, aur
khwaabon me tumhaaraa chehraa, aur hothon pe tumharaa naam rahegaa...
No comments:
Post a Comment