Khud ko bhulaaye jaa rahaa hoon
unki tasveer ko dekh main akele me muskuraaye jaa rahaa hoon
kabhi seene se to kabhi apne aankhon se lagaaye jaa rahaa hoon
unse hui kal ki mulaquaat ke baare me main soch rahaa hoon
aur us milan ko main geeton me sajaake gaaye jaa rahaa hoon
unki khushboo, phoolon si, jaise ab bhi aa rahi hain kahin se
mehek rahaa hoon aur samaa ko bhi main mehkaaye jaa rahaa hoon
khuli zulfon me aayi thi, chehre me kuch alag kashish thi unke
unke us roop ko soch kar khud ko main gudgudaaye jaa rahaa hoon
apne narm haathon se mere haathon ko kal chhuwaa thaa unhone
apne us haath ko baar baar apne hothon se lagaaye jaa rahaa hoon
kal mili thi jab wo mujhse , mere seene se lagi thi kuch pal
haaye, ab bhi main khud ko us ehsaas me nehlaaye jaa rahaa hoon
bhook lag nahi rahi mujhe ab, naa hi mujhe neend bhi aa rahi hai
khoyaa hoon unki yaad me, aur khud ko lutaaye jaa rahaa hoon
unki sharbati aankhon me gum hoon, unki zulfon me hoon main kahin
dil to haar chukaa hoon unpe, ab khud ko gawaaye jaa rahaa hoon
kaho na, ye kaisaa ehsaas hai, kyaa isi kaa naam mohabbat hai
kyun main hoon nahi khud me, aur khud ko bhulaaye jaa rahaa hoon
No comments:
Post a Comment