Kuch to bhi
meri shayari mujhse aksar poochaa karti hai
ki kyun chaahte ho use itna jo tumhaari nahi
main har baar has ke use keh detaa hoon
"tumhaare saath hoon na main, tum bhi to meri nahi"

shabdon ko jod ke dil kaa haal bayaan kartaa hoon main
jo dil bhar aataa hai meraa, gaa ke sunaataa hoon main
chaahaa thaa kisi haseen ko jo hai nahi meri ab, lekin
uski yaadon ko aajkal kore kaagaz pe utaartaa hoon main
subah se shaam tak kabhi kuch bhi nahi likh paataa, lekin
ghum nahi, uski tasveer ko dekh muskuraa letaa hoon main
jaane ye kaisa ehsaas hai ki wo duur ho ke bhi duur nahi
tanhaai me bhi us chehre ko apne kareeb paataa hoon main
uske likhe un geeton se aaj bhi uski hi mehek aati hai
aur unhi geeton ki khushboo se mehek jaataa hoon main
bhoolne ko bhool chukaa hoon duniyaa ki har baat, lekin
kyaa wajah hai uski baaton ko nahi bhool paataa hoon main
hai nahi saath mere, naa milegi kabhi mujhe ye maloom hai
lekin, sach hai is jahaan me bas usi ko chaahtaa hoon main

No comments:
Post a Comment