Friday, December 21, 2012

Main kyun likhtaa hoon


main apni mohabbat ko kabhi zyaadaa to kabhi kam likhta hoon
koi poochhle agar mujhse so khul ke saare ghum likhtaa hoon
kyaa huwaa mere saath, kaise dil tootaa meraa
main apne dard ko alag alag andaaz me likhtaa hoon

kabhi kabhi to log mujhe paagal samajhne lagte hain
ki ek kahaani ko kyun baar baar likhtaa hoon
kyaa karun main ki dil meraa samajh paataa nahi
wahi puraani kahaani main baar baar likhtaa hoon

kisi ne kaha thaa ki likh lene se dil ka dard kam hotaa hai
shaayad yahi wajah hai ki main us koshish me likhtaa hoon
par jitna likhtaa hoon dard badhtaa jaataa hai dil kaa
aur apne agle geet me main badhte huye dard ko likhtaa hoon

main kabhi apni haari huyi mohabbat ko likhtaa hoon
to kabhi apni kismat ki rekhaaon ko likhtaa hoon
mil nahi paayaa mujhe meraa yaar jise chaahaa maine
isliye bas main apne us haar ki kahaani likhtaa hoon

maaloom hai log padhene kai kai baar aur denge gaaliyaan bhi
ab to aadat hai isliye main yahi sab baar baar likhtaa hoon
koi bataayegaa kami meri lekhni ki, koi bahut khoob kahegaa
par sach to ye hai ki main bas dil ke sukoon ke liye likhtaa hoon

No comments:

Post a Comment