Sunday, December 23, 2012

Bhool jaao mujhe

jaane do ab wo baat puraani ho chuki
wo mulaaquaatein , wo yaadein puraani ho chuki
kyaa faaidaa ab un puraane panno ko palatke
wo kahaani, ab bahut puraani ho chuki....

chaahte ho fir se kholnaa un panno ko jo band pade hain
kuch raaz dil ke jo ab bhi dil me dabe pade hain
jo honaa thaa ho chukaa, ab kyaa faidaa un baaton kaa
kyaa unn baton se ab hum ek ho paayenge?
kyaa sab jaan lene se wo khushi ke dil laut aayenge?

nahi aisa mumkin nahi hai
wo beetaa huwaa waqt beet chukaa hai
ab jo waqt hai wo naa hamaaraa hai, naa tumhaaraa hai
achche the hum pehle, jab saath the
ab judaa ho ke ek dusre se hum hum nahi rahe

bandh chuke hain kisi aur bandhan me hum dono
tum kisi aur ki ho, main kisi aur kaa hoon
jaane do, ab un baaton ko leke naa socho tum
khush raho apni duniyaa me, koi tumhaaraa hai

maaloom hai ki ye baat chubhti rahegi tumhe har baar
ki maine batayaa nahi, tumne jaannaa chaahaa magar
us baat ko main ab zubaan pe laayaa nahi
jaante tum bhi ho, samajhte bhi ho
ki sunoge kissa fir bhi kuch naa kar paaoge
tum kisi aur ke ho, usi ke reh jaaoge...

ab saath hamaaraa ho nahi saktaa ek dusre kaa
isliye bas yahi kahungaa, ki bhool jaao sab
chale jaao duur mujhse itnaa ki chaahu bhi to
chhoo naa paaun main tumhe, tumhaari khushi ko
duur itnaa ki main mehsoos bhi naa kar sakun tumhaare saaye ko
chaahun kabhi agar milnaa tumse, dhundne se bhi naa milo mujhe tum

yaa fir main hi chalaa jata hoon, duur kahin duur
itni duur tumhaari duniyaa se ki nazar naa aaun
chilla chilla ke tumhaaraa naam le loon magar
tum naa suno, aur tumhe dhund naa paaun main....

milenge hum, agle janam me, ye vaadaa rahaa
ek vaadaa aur sahi in janam me meraa tumse
yakeen hai mujhe, naa kar paayaa koi waadaa pooraa main
par ye waadaaa, sirf waadaa banke naa reh jayegaa
hogi saath tum mere, aur ye waadaa pooraa ho jaayegaa
yakeen hai mujhe, meraa ye waadaa pooraa ho jaayegaa....

No comments:

Post a Comment