Paagal banaate ho ji
poochaa unhone haal hamaaraa sharmaate huye, kaise ho ji
muskuraake chehraa chhipaayaa aur fir boli, kaise ho ji
raaton me khwaab me aa aake humse batiyaa kyun karte ho ji
kehte nahi ho, par humein maloom hai ki humpe marte ho ji
aahen bharte ho tanhaayi me, aur mil ke khush ho jaate ho
chhup chhupke mohabbat karte ho, par kyun chhupaate ho ji
hum kyaa kehte... bas itnaa keh diyaa...
tumse kaise kahen hum, ki jaan chhidakte hain tujhpe jaanaa
paagal karte ho humein, aur aa aake humein sataate ho ji
kehte ho humse ki hum bade bhole hain, kuch samajh paate nahi
karte ho deewaanaa tum, aur humein hi deewaanaa batatae ho ji
keh de tumhe hum jaan apni to samajhte ho ki hum paagal hai
khud paagal banaate ho, aur fir dekh humein muskuraaate ho ji

No comments:
Post a Comment