Kaash tum laut aao
sach kehti ho tum shaayad ki mujhse hi tum ho
par kaise bataaun tumhe ki tum bin main kuch nahi
haan main hi thaa jo muskaan laataa thaa tumhaare hothon pe
haan main hi thaa jo tumse geet likhwaataa thaa, magar
kyaa tumhe maloom hai ki, wo tum hi thi
jisse maine sikhaa pyaar karnaa, wo tum hi thi
maaloom na thaa ki kyaa hotaa hai kho jaanaa bheed me
maaloom na thaa ki kyaa hotaa hai ehsaas chaahat kaa
mila tumse pehli baar to naa jaan paayaa thaa magar
miltaa rahaa tumse to ye sach jaanaa maine
ki mumkin nahi kuch bhi keh paanaa tumsse judaa hoke
mumkin nahi muskuraanaa tum bin ye jaanaa maine
koshish to bahut ki maine aa ke mil loon tumse magar
yeh kadam mere jo uth_te hain fir ruk jaate hain
jaane wo kaunsaa bandhan hai jisne rok rakhaa hai mujhe
main chaah ke bhi kadam badhaa paataa nahi
main, chaahtaa bahut hoon par muskuraa paataa nahi
judaa ho ke tumse kisi se saath nibhaa paayaa to tumhaari yaadein hain
yaad aate hain aajkal har lamha tumse kiye mere wo saare vaadein hain
ab bhi kabhi tanhaa baithe apne kamre me
sochtaa hoon kyaa wajah thi
kyaa kasoor thaa meraa tumhaaraa
ki judaa ho gaye hum ek dusre se
tut ke bikhar gaye hamaare wo kasmein vaadein
ye dil jo thaa kaanch ke aaine ki tarhaa
ab bikhar ke jaane kyun tukdo me badal gayaa
kyun hamaari haath ki rekhaaye dhokaa de gayi
kyun ye hamaaraa pyaar bharaa jahaan badal gayaa
aaj bhi sochtaa hoon main ki kaash tum aajaao laut ke ek baar
aake lag jaao mere seene se aur kaho mere kaano me dheere se
'jaanu, mujhe tumse mohabbat hai, aaj bhi mujhe sirf tumse mohabbat hai'
kaash.... tum laut aao....

No comments:
Post a Comment