Tumhaari yaad bahut aayegi
badi aasaani se tumne keh diyaa
ki jaa rahi hoon duur tumhaari zindagi se
rahungi saath tumhaare to
tumhaare pyaar ko tum pyaar naa de paaoge
bas mujhe hi chaahte reh jaaoge
par kyaa sochaa hai tumne ek bhi baar
ki is tarhaa saath chhod jaane se
kyaa hogaa is pagal kaa
ye paagal jo sirf tumhaare baare me sochtaa hai
ye paagal jo bas tumhaaraa saath chaahtaa hai
hoti hai kuch majboori ki har kisi ko
har kisi ka saath nahi mil paataa lekin
ye bhi to zaruri nahi ki jise chaahen
us se itne duur chale jaayen ki
chaahne se bhi mil naa sake
ye baat sahi nahi hai tumhaari
chhod jaane kaa faislaa galat hai tumhaaraa
na milo mujhse, par paas to raho mere
ki chaahu jab bhi milna, main mil loon
kare mann mera baat karne ka to kar loon
mushkil hogaa duur jaa paanaa tumhaari aadat se
ye aadat jo tumne daali hai khud ki mujhme
ye aadat kyaa tumhaare kehne se chhuut jaayegi?
na maano tum par maloom hai mujhe
tumse duur jaake bhi mujhe tumhaari
sirf tumhaari yaad bahut aayegi
jaanu, mujhe tumhaari yaad bahut aayegi...
No comments:
Post a Comment