Tuesday, September 14, 2010

Yaadon me aake sataaya na karo

dil ki baaton ko yun dil se lagaaya na karo,
meri yaadon me kho ke ye waqt zaaya na karo,

hum to bahut duur ja chuke hain tumse ab,
hamaari bewafai ke nagme ab gaaya na karo,

wo ek waqt tha jab tumse main tha aur mujhse tum thi,
hamaare pyaar ke kisse ab gairon ko bataaya na karo,

maaloom hai humein ki hamara saath mumkin nahi ab,
tum ab is tarha khayaalon me aake sataaya na karo,

main bas tumhaare yaadon ke sahaare hi to zinda hoon,
tumhe main bhul jaaun ye tum mujhe samjhaaya na karo,

geet tumhaare kabhi mere hothon pe saja karte the,
aaj tum un geeton ko tanhaayi me gungunaaya na karo...

No comments:

Post a Comment