Tuesday, September 14, 2010

Aadat

roz roz tumse baat karne ki aadat hai meri,
tumhaari awaaz me doob jaane ki aadat hai meri,
awaaz meri kaano se lagana tumhe bhi pasand hai na,
tumhe bhi ghanto mujhse baat karne ki aadat hai na,

tumhaari muskaan ko yaad karne ki aadat hai meri,
yaad kar ke tumhe muskuraane ki aadat hai meri,
tum bhi to meri muskaan pe mar mit_ti ho na,
mujhe dekh tumhe bhi muskuraane ki aadat hai na,

tumhaari raahon pe aankhen bichhana aadat hai meri,
tumhaare intezaar me ghadiyaan bitaana aadat hai meri,
tum bhi to meri raahon pe palken bichhaye baithi ho na,
tumhe bhi kuch kuch meri tarha tadapne ki aadat hai na,

meri har aadat tumse hi shuru hoti hai na,
meri har aadat tumpe hi khatam hoti hai na,
dekha hai jab se tumhe tum meri aadat ban gayi ho,
aur mujhe apna samajhna tumhaari bhi aadat hai na,

bolo na meri jana, ye mera paagalpan hi hai na,
kaho na ek baar, ye mera deewaana pan hi hai na,
main jo tumhe chahta hoon sabse badk ke itna,
meri ye mohabbat bhi to meri aadat hi hai na,

kaho na meri jaana meri mohabbat meri aadat hai na,
keh do na, tumhe chaahna meri ek aadat hi hai na...

No comments:

Post a Comment