Friday, September 17, 2010

Aaina kaaanch ka hi hota hai

har aaina to kaanch ka hi hota hai,
mera dil bhi kisi kaanch se kam nahi,
jab tak tum the ye sheesh mahal lagta tha,
aaj tum nahi to ye kuch tukdon se kam nahi,
ek toofan ke aane se wo mahal dheh gaya,
aaj pyaar nahi aur koi sheeshmahal nahi,

kabhi tumse milne ko hum bhi betaab the,
aaj tumhaare jaane se wo betabi rahi nahi,
kal tak tumhse hi har kali mehekti thi,
aaj tum nahi to koi phool gulaabi rahi nahi,
aaj har phool murjhaa gaya hai,
kisi baag me aaj rahi bahaar nahi,

ehsaas to aaj bhi hamaare ek se hi hain,
alfaz bhi apne ab tak koi badle nahi,
fark bas itna hai kal pyaar tha aaj dard hai,
par aaj bhi tumhaari koi baat hum bhoole nahi,
har yaad seene me dard banke sama gaya hai,
aaj tum nahi to muskuraaane ki koi wajah nahi,

kal tumhaare saath tanha the, aaj akele hai tanha,
tanhaayi ka aalam kal bhi tha aur aaj bhi badla nahi,
kal tak har mehfil tumse hi sajti thi,
aaj mehfilon me waisi rounak nahi,
kal tak jeene ki ek umang thi dil me,
aaj tum nahi to koi umang bhi nahi,

dil me tum mere aaj bhi ho,
fark bas itna hai ki tum kareeb nahi,
chaaha tha tumko khud se badhke humne,
par shayad tumhaare dil me mere liye kuch nahi,
tumhaare jaane se tut chuka hai mera "Hriday",
aaj tum nahi paas to kuch bhi hum nahi...

No comments:

Post a Comment