Thursday, September 23, 2010

Judai ka dard kya hai

bahut fark hota hai vaasna aur chaahat mein,
jaise kisi ki niyat aur kisi ki aadat mein,

jaruri nahi ki jo aankhon se dekha wo sach ho,
jaruri nahi ki jo kaano se suna wo sach ho,

kai baatein hoti hain jo deewaaron ko pata hota hai,
un deewaaron ke qaid me kai baar dil bhi rota hai,

chaah ke bhi kai baar hum apni chaahat ko apna nahi paate hain,
rishton ke bandhan me aur majbooriyon me bandhe reh jaate hain,

kyun lagta hai tumhe aisa ki humne koshish nahi ki hogi,
na ho paayi hamaari koshish safal, koi majboori rahi hogi,

kai mil jaayenge tumhe tum jaise tamaasha dekhne waale,
na samajh paoge kyun hote hain alag kyun rote hain dil waale,

aasaan hai kisi ki tadap pe aag lagaake muskuraa dena,
khud pe kabhi aaye ye ghadi aake tab humse ye kehna,

kya jaano tum kyun tut te hain dil yahaan roz hazaaron me,
tum to bas aate ho yahaan tamashe dekhne roz bazaaron me,

aasaan hota hai kisi gair pe ungli uthaa ke chal dena,
kabhi kuch aisa tumhaare saath bhi ho jaaye to zaraa kehna,

na samajh paoge tum hamaari baat na samjhaa paayenge hum,
suljhaane me tumhaari pareshaani khud ulajh jaayenge hum,

ho sake to kabhi sochna us beti ke baare jisne ye sab kiya hoga,
maa babuji ke mar jaane ki dhamki se jisne darke sab kiya hoga,

pyaar to karti thi wo apne pyaar se khud se badhkar,
par apno ke maut ka karza na utaar paati chahke bhi wo markar,

aasaan hai hasna dusron ke ghumon me bin jaane sach kya hai,
jab beetegi khud pe to samajh paaoge ki judai ka dard kya hai...

No comments:

Post a Comment