Friday, September 17, 2010

Hamaare aansuon ka rishta

hamaare aansuon ka rishta yun humse ban gaya,
aankhon se behta raha aur dil ko bheego gaya,

bheege huye dil ke mere dhadkane bhi chup si hain,
tumhaara hi ghum tha wo jo ghaayal hume kar gaya,

aankh bhi geele se hain, honth bhi bheege se hain,
aankhon ka hi paani tha jo honthon ko bheego gaya,

aansuon ko samjha tha moti, pyaar ko samjha tha dil,
jise humne samjha tha apna, wahi humein thukra gaya,

kehte tum main hoon tumhaari, mujhse tumko pyaar hai,
tumhara hi ghum hai jo mere har din ko raat kar gaya,

tumse hi roshan kiya tha apne ghar ka har chiraag,
tum nahi to kuch nahi, har chiraag bhi ab bujh gaya,

waqt ka ye khel hai sab, khela bhi usne khub hai,
gairon ko apne kareeb laake, apno ko paraaya kar gaya,

kuch bachi si saanse thi, kuch ruke se dhadkan bhi,
tumhaare jaane se dekho tumhaara "Hriday" hi mar gaya....

No comments:

Post a Comment