Sunday, September 26, 2010

Tum aaye ho

meri zindagi me yun tum bahaar banke aaye ho,
jaise mera bhoola hua tum pyaar banke aaye ho,

raahe zindagi mein kai humsafar mile, kai bichhde,
tum zindagi bhar ke liye mera humsafar banke aaye ho,

pehle miley ajnabi ke jaise, mujhse tum anjaan banke,
ab meri is zindagi me tum koi khumaar banke aaye ho,

zindagi thi sooni meri, na dost na koi humdum hi tha,
tum to meri zindagi me meri zindagi hi banke aaye ho,

zindagi mein ghum hi tha, na muskuraane ki koi wajah thi,
tum to meri zindagi mein jaise koi muskaan banke aaye ho,

meri zindagi me yun tum bahaar banke aaye ho,
jaise mera bhoola hua tum pyaar banke aaye ho,

tum to meri zindagi me koi aetbaar banke aaye ho,
tum to meri zindagi me pyaar beshumaar banke aaye ho,

aur ab...

lagta hai aisa har pal mujhe ki tum nahi to kuch nahi,
bheed me bhi lagta hoon tanha, tum nahi to kuch bhi nahi,

phool bhi gulaab ka ye kehta hai mujhse kabhi,
haath me uske na pahuchu to wajood mera bhi nahi,

kaanton se ghira hua hoon, chubhte hain mujhe subha shaam,
saath uska na mila to zindagi to meri zindagi nahi,

kuch is tarha ki kahaani kamal bhi kehta hai mujhse,
kichad me dooba hua hoon, mera koi astitwa nahi,

chhoo le wo agar ek baar, aa jaaye mujhpe bahaar,
kichad ka hoon, kichad me hoon, wo nahi to main kuch nahi,

phoolon ka main kya kahun, kuch kahaani yun meri bhi hai,
tanha hoon main bin tumhaare, tum nahi to main bhi nahi,

khoya rehta hoon main har pal, yaadon mein bas tumhaare,
saath ek pal ka na mile, kho jaata hoon main jaane kahi,

sach....

raahe zindagi mein kai humsafar mile, kai bichhde,
tum zindagi bhar ke liye mera humsafar banke aaye ho,

meri zindagi me yun tum bahaar banke aaye ho,
jaise mera bhoola hua tum pyaar banke aaye ho,

meri zindagi me yun tum bahaar banke aaye ho...

No comments:

Post a Comment