Sunday, September 5, 2010

Bachpan ka pyaar

mujhe aaj bhi wo bachpan ka pyaar yaad aata hai,
kitaab ke panno me kisi ka chehra nazar aata hai,

wo maasum si muskaan, wo aakhon ka chamakta paani,
aaj bhi un aankhon ka jhilmilaana yaad aata hai,

wo kaagaz ki kashti, wo baarish ka behta paani,
behte paani me kashti ka beh jaana yaad aata hai,

haan mujhe mere saathi ka chehra nazar aata hai,
aaj bhi mujhe mere bachpan ka pyaar yaad aata hai,

gudde gudiyon ka khel, wo unka khel me vyah rachana,
saari ke tukdon se unke kapde banana yaad aata hai,

wo khilaune bachpan ke, wo kahaani bachpan ke,
un khilauno se khel ke din bitaana yaad aata hai,

khaake thokar agar main girta, uska aake mujhe uthaana,
mere aansuon pe uska tadapna mujhe aaj bhi yaad aata hai,

wo maasum sa chehra, wo aankhon se behta paani,
uske rooth jaane pe mera wo manaana yaad aata hai,

kabhi uske ghar jaana, kabhi uska mere ghar aana,
ghanto ek dusre ke saath khilkhilaana yaad aata hai,

maa se kehke pasand ke uske kuch banaana, saath khaana,
wo ek dusre se apni har pasand bataana yaad aata hai,

haathon pe banaate dolar aur jolly, wo statue kehna,
pyaar se ek dusre se baatein karna yaad aata hai,

wo bachpan ka pyaar mujhe aaj bhi yaad aata hai,
mere saathi ka chehra mujhe ab bhi nazar aata hai,

wo gungunaana , wo gaane gana saath milke,
wo saath uske school jaana yaad aata hai,

tiffin me laana pasand ki cheezen roz badalke,
aur unhe baantke school me khaana yaad aata hai,

pyaar se uske mere gaalon pe haath rakhna,
chehre se mere baalon ko hataana yaad aata hai,

aaj bhi mujhe wo guzra zamaana yaad aata hai,
mere bachpan ke dost ka muskuraana yaad aata hai,

wo kaagaz ki kashti, wo baarish ka behta paani,
behte paani me kashti ka beh jaana yaad aata hai,

haan mujhe mere saathi ka chehra nazar aata hai,
aaj bhi mujhe mere bachpan ka pyaar yaad aata hai...

2 comments:

  1. Bahut khoob Kapil ji.kamaal ke likhte ho aap.great work.keep it up.madhu

    ReplyDelete