Monday, September 27, 2010

Ek Sapna

kal subah use julfen lehraate huye maine dekha tha,
usko kisi ki baat pe khilkhilaate maine dekha tha,

ek parda meri khidki ka, ek parda uske ghar ka tha,
kal maine dono pardon ko ek saath uth_te dekha tha,

uski geeli aankhon me maine pyaar pyaar dekha tha,
uski komal kaaya ko maine bin shringaar dekha tha,

khile gulaab ki tarah kal maine usko khilte dekha tha,
kal kuch is tarha usko kali se phool bante dekha tha,

suraj ki pehli kiran ko kal maine uspe padte dekha tha,
apne rang se use maine suraj ko roshan karte dekha tha,

kal subah maine ek khoobsurat sa aisa sapna dekha tha,
aankhen band karke neend me maine usko apna dekha tha,

kal apne sapne me usko maine julfen lehraate dekha tha,
kal subah maine ek khoobsurat sa aisa sapna dekha tha.

No comments:

Post a Comment