Thursday, September 23, 2010

Chalti jaati hai zindagi

is jahaan mein pyaar ki koi paribhaasha nahi hoti,
dil se dil ki baat kehne ke liye koi bhaasha nahi hoti,

pyaar do dil ke milan ko bhi kehte hain aur do jismo ke bhi,
kisi kitaab mein likhi pyaar ki sachchi paribhaasha nahi hoti,

pyaar kya hai, ek aakarshan hi to hota hai,
pehle milan, fir dosti, fir pyaar ho jaata hai,

beh jaate hain log bahaaw mein mohabbat ke kai baar,
jismon ke aakarshan ko mohabbat keh dete hain kai baar,

par sach ye bhi nahi ki wo koshish nahi karte ek hone ki,
warna tute na hote aaj tak koi dil aur wajah na hoti rone ki,

ek dusre ki nazdikiyaan aadat me badal jaati hai aksar,
yahi aadat hoti hai jo humein barbaad karti hai aksar,

mohabbat naam ki koi cheez hoti nahi is duniya me,
par aadat ko hi mohabbat kehte hain log jahaan me,

ab aadat to kisi ke chahne se banti na chhoot paati hai,
bas ye aadat hi hai jo humse kai gunah karwaa jaati hai,

chah ke bhi kai baar us mohabbat ya adat ko apna nahi paate hain,
gharwaalo ki marzi ke aage majboor hoke chup hum reh jaate hain,

janm diya jis maa ne, chhote se paal poske badaa kiya jisne humein,
kaise tod paayenge us maa ki mamta ko jisne bas pyaar diya hai humein,

bandh jaate hain aise bandhan me jise todna mumkin nahi ho paata,
tut jaate hain sab sapne aur jeewan aasuon ka dher banke hai reh jaata,

matlab iska to ye nahi ki hum khushiyon ki chaahat hi chhod den,
kyun apne us mohabbat ya aadat ke liye jeene ki chahat chhod den,

kisi ke aane ya chale jaane se tham nahi jaati hai kabhi zindagi,
chalne ka naam hai zindagi, chalti hi jaati hai ye zindagi....

No comments:

Post a Comment