Friday, September 3, 2010

Log bhool jaate hain

jisne har mehfil ko sajaaya tha,
aaj usi ki mehfil me tanhaayi hai,
jisne kabhi sabko hasna sikhaya tha,
aaj usi ke dil me dard-e-judaai hai,

kya rishtey aise nibhaaye jaate hain,
koi rota hai to use aur rulaate hain,
koshish nahi karte koi samjhaane ki,
zakhmo pe har koi namak lagaate hain,

kisi ke bhi khushi me shaamil ho jaate hain,
kyun nahi koi ghum me saath nibhaate hain,
kya itna mushkil hai dosti nibhana, ki log
jarurat ke samay saath chhod jaate hain,

main ye nahi kehta ki aake saahnubhuti den,
par jo rota hai usko kyun nahi hasaate hain,
apne khushiyon me log aise doobe rehte hain,
ki apno ke dard ko bhi we bhool jaate hain,

hasne ke liye bas hothon ki jarurt hoti hai,
bas un hothon ko failaana bhool jaate hain,
kehne ke liye hazaaron dost hote hain magar,
wo waqt pe dosti nibhaana bhool jaate hain...

No comments:

Post a Comment