Tuesday, September 14, 2010

Tujhse pyaar kiye jate hain

kuch kahaani apni bhi aisi hai,
wo bilkul tum jaisi hai,

julfon me khoke bhul jate hain sab,
kya zamana hai kya seemayen hain,

aankhon me dub ke tumhaare hosh nahi rehta,
bas un aankhon me dubte chale jaate hain,

dikhta nahi humein wo sindoor tere maang ka,
tujhe baahon me bharke hum apna samajh lete hain,

bhool jate hain ki kya daayre hain apne,
tere hoke bas tujhme samaa jaate hain,

har raat agar hum tera intezaar karte hain to,
suraj ke nikalne se hum darte bhi hain,

ye koi chori nahi hai, pyaar hi hai,
par hum teri badnaami se bhi darte hain,

nahi rakha jaata kaaboo khud pe tujhse milkar,
tere mohabbat me hum behte chale jaate hain,

har pal mehsoos karte hain tere saanso ki mehek,
aur usi khushboo se hum bhi mehek jaate hain,

maaloom hai hume ki jo ho raha hai wo sahi nahi,
par jaanke bhi hum galtiyaan karte chale jaate hain,

kaise roke hum khud ko, kaise samjhaayen is dil ko,
hum to bas teri mohabbat me tujhse pyaar kiye jaate hain....

No comments:

Post a Comment