Sunday, September 19, 2010

Usey chaahta hoon main

kahaani hai ye har dhadkan ki har dil ki,
kisi ki judai to kisi ki manzil ki,

kuch aisi hi kahaani hamaari bhi hai mere dost,
tumne kahaa to hum bhi chup na reh paaye mere dost,

thi ek shehzaadi jo khwaabon me aati thi hamaare,
aake tadpa jaati thi humein shaam savere,

uski ek jhalak se chehre pe muskaan aa jati thi,
jiski har maasoom si adaa dil ko lubhaati thi,

kehte the hum use apna sachcha dost, sachcha saathi,
par shayad wo mere liye dost nahi kuch aur hi thi,

sochte rahe umra bhar ki kya naata hai usse hamaara,
par samajh na paaye ab tak kya rishta hai usse hamaara,

har rishte se badhke lagta usse wo rishta mera,
par sach ko kabhi samajh hi na paaya dil mera,

achcha lagta tha uske sang hasna khilkhilaana,
dil khush hota tha hamaara dekh uska muskuraana,

aankhon me kuch aisi kashish uski ki kya bataun,
lagta tha koi sharaab ka pyaala ho aur main pi jaun,

kuch alag hi baat thi uske har andaaz har baat mein,
ki wo yaad aati thi humein har subah har raat mein.

ab bhi yaad aati hai uski mujhe jab tanha hota hoon,
bas yaad kar un dino ko tanhaai me main rota hoon,

keh nahi paaya jo baat thi dil me mere uske liye,
dosti ka hi naam diya maine apne pyaar ka uske liye,

ab sochta hoon kaash keh paata main usse apne dil ki baat,
aaj uske mohabbat ke chirag se roshan ho raha hota mera har din ,
meri har raat,

par ab bahut der ho chuki hai khud ko ye samjhaata hoon main,
kehta to khud ki bhool ja use,
par sach to ye hai ki aaj bhi use chaahta hoon main...

No comments:

Post a Comment