Wednesday, September 29, 2010

Jab haqeeqat me tera aana hua

na poochho yaaron mujhse mere dil ka tab kya haal hua,
nashili uski aankhon se jab mere aankhon ka milna hua,

bechaini uski aankhon me thi, apna to jal jaana hua,
dekho fir se koi kaise kisi shaama ka parwaana hua,

dekhte the khwaabon me jise, uska kuch aisa aana hua,
aankhon pe mere bas na chala, ye to uska deewana hua,

dekha usko angrai lete, dupatte me khudko chhupaate,
dekh geele hothon ko uske mera to tab mar jaana hua,

hosh hi tha maine khoya jab uska khidki pe aana hua,
khwab me aati thi kal tak, aaj haqeeqat me aana hua,

geet uspe likhna chaaha par shabdon ka gum jaana hua,
kal uske husn ke maikhaane me apna to behek jaana hua...

No comments:

Post a Comment