Friday, September 10, 2010

Fir tujhpe koi ghazal likh jaunga

phoolon ki bagiyaa ko main kya sajaunga,
chaandni kya hai chaand ko kya bataunga,
asar tera aisa hai mere dilo dimaag pe,
ki aaj fir tujhpe koi gazal likh jaunga,

khwaabon me aake tujhe kangan pehnaunga,
haathon ko tere apne hothon se lagaunga,
rajanigandha jaisi mehek tere saanso ki,
us mehek se main khud bhi mehek jaunga,

main tere pyar ke saagar me doob jaunga,
jab main tujhe apne seene se lagaunga,
tadap uthegi tu bhi meri mohabbat me,
kuch is tarha tujhe paagal kar jaunga,

pyaar apna ji bharke tujh pe lutaunga,
mai kaanha ban tujhe baansuri banaunga,
hothon se tujhe apne lagaake main,
apne dhun se main tera dil behlaunga,

main is jahaaan se tujhe dur le jaunga,
ek khoobsurat sa apna jahaan basaunga,
chhoot jaaye agar saath bich safar me,
main agle janam me tera ban ke aaunga...

No comments:

Post a Comment