Wednesday, September 29, 2010

Ek ehsaas ne mujhe chheda hai

aaj fir us ehsaas ne aake mujhe cheda hai,
duur hoke bhi tumhaare itne paas hone ka,
darr tumhe paake tumse duur ho jaane ka,

jaane ye kaisa anjaana sa ehsaas hai,
tumhe paane ki ajeeb si pyaas hai,
paa nahi sakta tumhe ye pata hai mujhe,
par fir bhi tumhe paane ki ek aas hai,

samjhaata hoon apne dil ko roz roz main,
par ye mann baawra samajhna hi nahi chahta,
mushkil hai haqeeqat me tumhe paana magar,
ye dil kabhi tumse duur jaana hi nahi chaahta...

(My post number 500)

Mera muskuraana hua

aaj fir se us khidki pe mera thahar jaana hua,
dekh ke tujhe parde me chhipte mera muskuraana hua,

baarish bhi bahut khoob thi, garajte baadal bhi the,
mohabbat ki us baarish me fir tera bheeg jaana hua,

dekh tere bheege badan ko, chunri ko tere bheege huye,
mera khud ko chunri samajh tujhse lipat jaana hua,

aaj tujhko dekh jaise aankh bhi maikhaana hua,
aankhon se tujhko pi bhi liya, mera machal jaana hua,

baarish ki ek boond ko tere hothon pe rukte dekh,
khud ko wo boond samajh tere hothon ko chhuu jaana hua,

aankh teri jhuk si gayi, tera kuch yun sharmaana hua,
jab beheki us baarish me hamaara khidki pe nazar aana hua,

kya kahoon us baarish ka main uska kuch yun aana hua,
bheeg ke us baarish me hi tan badan ka jal jaana hua....
Teri yaad aati hai

dhalti har shaam ke saath teri yaad aati hai,
teri yaad ke saath dhadkan thahar jaati hai,

bhool jaate hain hum har ek gum har ek baat,
jab humein yaadon ki parchhai nazar aati hai,

yaad aati hai humein tere chehre ki maasoomiyat,
aankhon ki wo nami humein aaj bhi yaad aati hai,

takiye ko baahon me bhar tujhe mehsoos karte hain,
teri wo baahon ki narmi humein aaj bhi yaad aati hai,

chumte hain haathon ko apne tera haath samajh ke,
aaj humein tanhaayi me teri bahut yaad aati hai,

sharaabi har shaam me aaj tujh ko yaad karte hain,
mai ke har ek jaam me mujhe bas tu nazar aati hai,

aaj bhi meri dhadkane tujhko yaad karte hain,
likhta hoon koi geet to adhuri hi reh jaati hai...
Teri mohabbat ka deewaana hua

aaj kuch is qadar mehek raha hai saara samaa,
jaane kaise khushboo ka mere ghar aana hua,

har gulaab aaj kuch zyaada hi laal hai,
aur us rang me tere hothon ka rang jaana hua,

samundar me bhi lehren aaj kuch paagal si hain,
aur unke paagalpan me mera bhi behek jaana hua,

dekh ke teri husn ki jaadugari aaj fir se,
mera to aaj khayaalon me kahin gum jaana hua,

likhe the kai geet teri mohabbat k naam humne,
aaj apne hothon se un geeton ka gungunana hua,

kal tak teri muskaan dekh tadapte the hum,
aaj tujhe dekh mere hothon ka muskuraana hua,

tujhe baahon me bhane ki chaahat jaagi hai aaj,
jaane kyun ye paagal aaj fir se deewaana hua,

chumne tere labo ki laali teri or badh jaana hua,
dekh teri madmast jawaani mera to behek jaana hua,

tere chaahat ke samundar me mera to doob jaana hua,
kisi toofaan ka aake mere chaukhat pe thahar jaana hua,

aake meri bahon me aaj tera to pighal jaana hua,
aaj fir se ye dil teri mohabbat ka deewaana hua...
Ghum bhula lete hain

ab to hum tere dard me kho ke ji lete hain,
har ghum ko aansoo me milaake pi lete hain,

har raat chaand me tera chehra dekhte hain,
dekh tera chehra hum kuch pal has lete hain,

bhool jaate hain hum ye ki tu ab meri nahi hai,
tujhe yaad kar hum apne kareeb samajh lete hain,

tanhaayi me kabhi hum tujhpe kuch likh lete hain,
teri yaadon ko hum geeton me gunguna lete hain,

aawaaz teri mujhe sunaai deti hai tanhaayi mein,
hum maikhaane me jaa ke tera ghum bhula lete hain...
Chaand nazar aaya tha

kal subah mujhe khwaab me uska chehra nazar aaya tha,
kal din me pehli baar mujhe ek chaand nazar aaya tha,

wo chaand jo bedaag tha, wo chaand jo ki paak tha,
kal subah mujhe khwaab me wo chaand nazar aaya tha,

hawaa ke jhaunke se udne laga wo dupatta uska,
dupatte ki aad me uska wo chehra nazar aaya tha,

uski har adaa me kal mujhe iqraar nazar aaya tha,
kal subah uski aankh me mujhe pyar nazar aaya tha...
Jab haqeeqat me tera aana hua

na poochho yaaron mujhse mere dil ka tab kya haal hua,
nashili uski aankhon se jab mere aankhon ka milna hua,

bechaini uski aankhon me thi, apna to jal jaana hua,
dekho fir se koi kaise kisi shaama ka parwaana hua,

dekhte the khwaabon me jise, uska kuch aisa aana hua,
aankhon pe mere bas na chala, ye to uska deewana hua,

dekha usko angrai lete, dupatte me khudko chhupaate,
dekh geele hothon ko uske mera to tab mar jaana hua,

hosh hi tha maine khoya jab uska khidki pe aana hua,
khwab me aati thi kal tak, aaj haqeeqat me aana hua,

geet uspe likhna chaaha par shabdon ka gum jaana hua,
kal uske husn ke maikhaane me apna to behek jaana hua...
Tere dard ke saath jeete hain

ye geet hi to hain jo ab teri kami ko poora karte hain,
kal tak tera saath tha aaj tanhaayi me jiya karte hain,

kho jaate hain teri yaadon me hum, tujhko yaad karte hain,
teri yaad ko seene se lagake geet tujh pe likha karte hain,

kabhi tu hua karti thi saath, aaj tere dard k saath jeete hain,
tere dard ko geeton me sajaake hum tera naam likha karte hain,

hum to isliye likhte hain ki apna dard ko kam kar saken,
log mehfil me mere aake mere dard pe wah wah karte hain,

tu hi meri zindagi hai jaana, hum bas tere liye jiya karte hain,
saath tera hum paaa na sake par tujhe geeton me mehsoos karte hain...

Monday, September 27, 2010

Ek Sapna

kal subah use julfen lehraate huye maine dekha tha,
usko kisi ki baat pe khilkhilaate maine dekha tha,

ek parda meri khidki ka, ek parda uske ghar ka tha,
kal maine dono pardon ko ek saath uth_te dekha tha,

uski geeli aankhon me maine pyaar pyaar dekha tha,
uski komal kaaya ko maine bin shringaar dekha tha,

khile gulaab ki tarah kal maine usko khilte dekha tha,
kal kuch is tarha usko kali se phool bante dekha tha,

suraj ki pehli kiran ko kal maine uspe padte dekha tha,
apne rang se use maine suraj ko roshan karte dekha tha,

kal subah maine ek khoobsurat sa aisa sapna dekha tha,
aankhen band karke neend me maine usko apna dekha tha,

kal apne sapne me usko maine julfen lehraate dekha tha,
kal subah maine ek khoobsurat sa aisa sapna dekha tha.
Bas chalte hi jaana hai

kuch paana hai kuch khona hai,
yahi jeewan ka fasaana hai,
mitti se hi aaye the hum,
fir mitti me mil jaana hai,

kuch pal ka hai jeewan apna,
kabhi hasna hai kabhi rona hai,
kuch se duur ho jaate hain to,
kuch k kareeb humein hona hai,

chhota sa hai jeewan ka safar,
kal ko kisne yahaan jaana hai,
thakkar kahin hume rukna hai hai,
bas chalte hi jaana hai...
jaane ye kaisi mohabbat hai, jaane ye kaisa ehsaas hai,
main zindagi hoon kisi ki, aur mera dil kisi k paas hai...
Ghum ke siwa kuch bhi nahi

yaadon ko basa ke rakha tha dil me, bhoolayen nahi hain,
uska chehra aaj bhi hai aankhon me, mitaayen nahi hain,

kabhi sochte hain ki kaash wo hamaari hoti hamesha k liye,
kabhi sochte hain ki wo hume mili na hoti bhulaane k liye,

ye mohabbat bhi ajeeb ehsaas hai dost jo koi samjha nahi,
kisi ko mila haasil to kisi ke naseeb me kuch bhi nahi,

aaj jab dekha use kisi aur ki baahon mein angraaiyaan lete huye,
socha mere dil me jo tha itne saalon se shayad mohabbat hi nahi,

haan mujhe ghum is baat ka nahi hai ki usne bhoola diya mujhko,
ghum to bas is baat ka hai ki aaj tak main usko bhula paaya nahi,

aati hai haqeeqat me nahi par chhed jaati hai raaton ko khayaalon me,
kya rishta hai usse mera jo juda ho ke bhi ab tak juda ho paaya nahi,

kya yahi mohabbat hai ki koi rota hai kahin to koi hasta hai,
kyun uske naseeb me bas khushiyaan hain,
aur mere naseeb me ghum k siwa kuch nahi...

Sunday, September 26, 2010

Ek paagal si wo ladki hai

ek paagal si wo ladki hai,
jaane mujhpe kyun marti hai,
wo har lamha tanha rehti hai,
aur mujhse baatein karti hai,

uske geet hi gaata hoon main,

wo meri awaaz pe marti hai,
kuch aisa asar hai uska ki,
har saaz me jaadu bharti hai,

ek paagal si wo ladki hai,
khwaabon me aaya karti hai,
meri baatein sochti hai wo,
chupke se aahen bharti hai,

main uske pyaar me paagal hoon,
deewana mujhe wo karti hai,
mishri si meethi boli uski,
bas meethi baatein karti hai,

chupke se aake raaton ko,
mujhko wo chheda karti hai,
ek paagal si wo ladki hai,
jo mujhse mohabbat karti hai,

kaano mein aake kuch kehti hai,
mere baalon se khela karti hai,
gaalon ko mere chumti hai wo,
wo khub shararat karti hai,

ek paagal si wo ladki hai,
bas paagalpan hi karti hai,
apni meethi shararat se,
wo mujhko chheda karti hai,

ek paagal si wo ladki hai,
jo meri aawaaz me marti hai,
ek paagal si wo ladki hai,
jo mujhse mohabbat karti hai...
Tumhaare saaanso se mil jaayenge

ek din aake tumse kuch is tarha hum mil jaayenge,
ki baagon me phool gulaab k fir se khil jaayenge,

mehfil k har rang aake tumse is tarha mil jaayenge,
ki dil ke tumhaare armaa fir se machal jaayenge,

itne rang bhar denge hum aake tumhaari zindagi me,
ki tumhaare jeewan ke sab rang satrangi ban jaayenge,

na jaayenge tab ek pal ke liye bhi hum tumse duur,
tab hamaari saanse tumhaare saanso se mil jaayenge,

gaayenge hum har geet tab bas saath ek dusre ke,
aur hamaare har ek shabd tab ghazal ban jaayenge....
Tum aaye ho

meri zindagi me yun tum bahaar banke aaye ho,
jaise mera bhoola hua tum pyaar banke aaye ho,

raahe zindagi mein kai humsafar mile, kai bichhde,
tum zindagi bhar ke liye mera humsafar banke aaye ho,

pehle miley ajnabi ke jaise, mujhse tum anjaan banke,
ab meri is zindagi me tum koi khumaar banke aaye ho,

zindagi thi sooni meri, na dost na koi humdum hi tha,
tum to meri zindagi me meri zindagi hi banke aaye ho,

zindagi mein ghum hi tha, na muskuraane ki koi wajah thi,
tum to meri zindagi mein jaise koi muskaan banke aaye ho,

meri zindagi me yun tum bahaar banke aaye ho,
jaise mera bhoola hua tum pyaar banke aaye ho,

tum to meri zindagi me koi aetbaar banke aaye ho,
tum to meri zindagi me pyaar beshumaar banke aaye ho,

aur ab...

lagta hai aisa har pal mujhe ki tum nahi to kuch nahi,
bheed me bhi lagta hoon tanha, tum nahi to kuch bhi nahi,

phool bhi gulaab ka ye kehta hai mujhse kabhi,
haath me uske na pahuchu to wajood mera bhi nahi,

kaanton se ghira hua hoon, chubhte hain mujhe subha shaam,
saath uska na mila to zindagi to meri zindagi nahi,

kuch is tarha ki kahaani kamal bhi kehta hai mujhse,
kichad me dooba hua hoon, mera koi astitwa nahi,

chhoo le wo agar ek baar, aa jaaye mujhpe bahaar,
kichad ka hoon, kichad me hoon, wo nahi to main kuch nahi,

phoolon ka main kya kahun, kuch kahaani yun meri bhi hai,
tanha hoon main bin tumhaare, tum nahi to main bhi nahi,

khoya rehta hoon main har pal, yaadon mein bas tumhaare,
saath ek pal ka na mile, kho jaata hoon main jaane kahi,

sach....

raahe zindagi mein kai humsafar mile, kai bichhde,
tum zindagi bhar ke liye mera humsafar banke aaye ho,

meri zindagi me yun tum bahaar banke aaye ho,
jaise mera bhoola hua tum pyaar banke aaye ho,

meri zindagi me yun tum bahaar banke aaye ho...

Thursday, September 23, 2010

Thaan li hai maine


tujhe chaahne se pehle kuch socha nahi tha maine,
mohabbat karne se pehle kuch samjha nahi tha maine,

ab jab kar hi chuke hain waadaa kaanton pe chalne ka,
hadd se guzar jaane ki dil me thaan li hai maine,

ye na sochna kabhi tu ki ye waade mere khokhle hain,
waqt aane pe jaan tak dene ki kasam khai hai maine,

tune aashiq dekhe honge jo waade karte hain dil rakhne k liye,
par main waisa nahi, khud se jyaada tujhe chaaha hai maine,

ab kya kaanta, kya aag, kya hai sholon pe chalna,
teri mohabbat me ab kuch bhi kar jaane ki thaan li hai maine...

judaai bhagwaan ko bhi manzoor nahi hota,
chahat se badh ke koi suroor nahi hota,
aaj sapna hai jo kal haqiqat bhi hoga,
sach kabhi sapno se duur nahi hota...

Bas tumhe pyaar karenge

tumhaaare hothon pe hum ab muskaan saja denge,
kaaton ko chunke raahon pe phool bichha denge,

jo dekhen the khwaab tumne wo hum poore karenge,
hum tumhaare aansoo ki har ek boond mita denge,

ek chhota sa aashiyaan hoga apna aur hum honge,
us aashiyaane ko ab hum khushiyon se saja denge,

na dard ki awaaz hogi na ghum ka koi saaya hoga,
khud ko tumhaare har dard ki hum dawa bana lenge,

ab har lamha hum ek dusre bas ke saath rahenge,
duniya ko bhula denge hum aur har rasm mita denge,

aangan me tumhaare chaahat ka chiraag jala denge,
chaahat ke mehek se tumhaari zindagi mehka denge,

tumpe hi hum ab apni ye zindagi loota denge,
kuch na karenge hum, bas tumse pyaar karenge...
Koi apna mil hi jaayega

aankhen bichhaaye baithi ho jaane kabse apne piya ke liye,
raahen sooni hai, aur ghadiyaan ruk si gayi hain unke liye,
wo ayenege iska aetbaar shayad tumhe aaj bhi hai magar,
dil kehta hai tumhaara ki chhod gaye hain wo sada ke liye,

jo chhod jaate hain saath kabhi milte nahi dobaara humse,
umra beet jaati hai apne par mil nahi paate hain hum unse,
kya huwa agar unhe tumhaare ehsaason ki kadar nahi hai aaj,
duniya badi hai, kai mil jaayenge jo mohabbat karenge tumse,

kyun kisi aese ke liye apne motiyon jaise aansoo bahaate ho,
kisi paththar dil insaan ke liye kyun bewajah pyaar lutaate ho,
aayega nahi ab laut ke, khush hai wo apne khushiyon ke jahaan me,
kyun aaj bhi tum uske naam ke geet is tarha hothon pe sajaate ho,

duniya bahut badi hai mere dost, koi apna mil ji jaayega tumhe,
jo samjhega tumhaari chahat ko aur khudse badh ke chaahega tumhe,
wo itna pyaar dega tumhe ki tum bhool jaaogi duniya ki har baat,
apne dil me basaake rakhega aur baahon me bharke rakhega tumhe...
Judai ka dard kya hai

bahut fark hota hai vaasna aur chaahat mein,
jaise kisi ki niyat aur kisi ki aadat mein,

jaruri nahi ki jo aankhon se dekha wo sach ho,
jaruri nahi ki jo kaano se suna wo sach ho,

kai baatein hoti hain jo deewaaron ko pata hota hai,
un deewaaron ke qaid me kai baar dil bhi rota hai,

chaah ke bhi kai baar hum apni chaahat ko apna nahi paate hain,
rishton ke bandhan me aur majbooriyon me bandhe reh jaate hain,

kyun lagta hai tumhe aisa ki humne koshish nahi ki hogi,
na ho paayi hamaari koshish safal, koi majboori rahi hogi,

kai mil jaayenge tumhe tum jaise tamaasha dekhne waale,
na samajh paoge kyun hote hain alag kyun rote hain dil waale,

aasaan hai kisi ki tadap pe aag lagaake muskuraa dena,
khud pe kabhi aaye ye ghadi aake tab humse ye kehna,

kya jaano tum kyun tut te hain dil yahaan roz hazaaron me,
tum to bas aate ho yahaan tamashe dekhne roz bazaaron me,

aasaan hota hai kisi gair pe ungli uthaa ke chal dena,
kabhi kuch aisa tumhaare saath bhi ho jaaye to zaraa kehna,

na samajh paoge tum hamaari baat na samjhaa paayenge hum,
suljhaane me tumhaari pareshaani khud ulajh jaayenge hum,

ho sake to kabhi sochna us beti ke baare jisne ye sab kiya hoga,
maa babuji ke mar jaane ki dhamki se jisne darke sab kiya hoga,

pyaar to karti thi wo apne pyaar se khud se badhkar,
par apno ke maut ka karza na utaar paati chahke bhi wo markar,

aasaan hai hasna dusron ke ghumon me bin jaane sach kya hai,
jab beetegi khud pe to samajh paaoge ki judai ka dard kya hai...

Chalti jaati hai zindagi

is jahaan mein pyaar ki koi paribhaasha nahi hoti,
dil se dil ki baat kehne ke liye koi bhaasha nahi hoti,

pyaar do dil ke milan ko bhi kehte hain aur do jismo ke bhi,
kisi kitaab mein likhi pyaar ki sachchi paribhaasha nahi hoti,

pyaar kya hai, ek aakarshan hi to hota hai,
pehle milan, fir dosti, fir pyaar ho jaata hai,

beh jaate hain log bahaaw mein mohabbat ke kai baar,
jismon ke aakarshan ko mohabbat keh dete hain kai baar,

par sach ye bhi nahi ki wo koshish nahi karte ek hone ki,
warna tute na hote aaj tak koi dil aur wajah na hoti rone ki,

ek dusre ki nazdikiyaan aadat me badal jaati hai aksar,
yahi aadat hoti hai jo humein barbaad karti hai aksar,

mohabbat naam ki koi cheez hoti nahi is duniya me,
par aadat ko hi mohabbat kehte hain log jahaan me,

ab aadat to kisi ke chahne se banti na chhoot paati hai,
bas ye aadat hi hai jo humse kai gunah karwaa jaati hai,

chah ke bhi kai baar us mohabbat ya adat ko apna nahi paate hain,
gharwaalo ki marzi ke aage majboor hoke chup hum reh jaate hain,

janm diya jis maa ne, chhote se paal poske badaa kiya jisne humein,
kaise tod paayenge us maa ki mamta ko jisne bas pyaar diya hai humein,

bandh jaate hain aise bandhan me jise todna mumkin nahi ho paata,
tut jaate hain sab sapne aur jeewan aasuon ka dher banke hai reh jaata,

matlab iska to ye nahi ki hum khushiyon ki chaahat hi chhod den,
kyun apne us mohabbat ya aadat ke liye jeene ki chahat chhod den,

kisi ke aane ya chale jaane se tham nahi jaati hai kabhi zindagi,
chalne ka naam hai zindagi, chalti hi jaati hai ye zindagi....

Sunday, September 19, 2010

Baarish ki boondein

baarish ki ye boonden tumhaari yaad leke aaye hain,
yaadon me hamaari pehli wo mulquat leke aaye hain,

wo tumhaari aankhen, wo julfen, wo khili muskaan,
jaane kitni yaadein aaj ye barsaat leke aaye hain,

ye boondein bhooli hui har wo baat leke aaye hain,
kitni puraani baatein ye apne saath leke aaye hain,

kuch alag hi andaaz hai aaj har ek boond mein,
maano ye fir se pyaar ki saugaat leke aaye hain,

tumhaari kuch adaon pe fida hoke mar mita tha main,
ye boondein aaj tumhaari har wo baat leke aaye hain....

Kuch rishtey anjaane se

kuch rishte jaane pehchaane se,
kuch rishtey hain anjaane se,
kuch dil hi dil me judte hain,
kuch apne se, kuch begaane se,

kuch rishtey aise hotey hain,
bin soche hi jud jaate hain,
kuch rishtey aise hotey hain,
jo apne se ban jaatey hain,

kuch pal ki meethi baaton se,
kuch andekhe mulaaqaaton se,
kuch dhadkan ki betaabi se,
kuch pyaar ki saugaaton se,

kuch naye se, kuch puraane se,
kuch miltey hain bahaane se,
kuch khwaabon me bhi milte hain,
kuch lagte bade suhaane se,

kuch rishtey aise jud jaate hain,
kuch raahen aise mud jaate hain,
manzil ki kisi ko khabar nahi aur,
kuch haasil jaise ban jaate hain,

kuch rishte jaane pehchaane se,
kuch rishtey hain anjaane se...
Usey chaahta hoon main

kahaani hai ye har dhadkan ki har dil ki,
kisi ki judai to kisi ki manzil ki,

kuch aisi hi kahaani hamaari bhi hai mere dost,
tumne kahaa to hum bhi chup na reh paaye mere dost,

thi ek shehzaadi jo khwaabon me aati thi hamaare,
aake tadpa jaati thi humein shaam savere,

uski ek jhalak se chehre pe muskaan aa jati thi,
jiski har maasoom si adaa dil ko lubhaati thi,

kehte the hum use apna sachcha dost, sachcha saathi,
par shayad wo mere liye dost nahi kuch aur hi thi,

sochte rahe umra bhar ki kya naata hai usse hamaara,
par samajh na paaye ab tak kya rishta hai usse hamaara,

har rishte se badhke lagta usse wo rishta mera,
par sach ko kabhi samajh hi na paaya dil mera,

achcha lagta tha uske sang hasna khilkhilaana,
dil khush hota tha hamaara dekh uska muskuraana,

aankhon me kuch aisi kashish uski ki kya bataun,
lagta tha koi sharaab ka pyaala ho aur main pi jaun,

kuch alag hi baat thi uske har andaaz har baat mein,
ki wo yaad aati thi humein har subah har raat mein.

ab bhi yaad aati hai uski mujhe jab tanha hota hoon,
bas yaad kar un dino ko tanhaai me main rota hoon,

keh nahi paaya jo baat thi dil me mere uske liye,
dosti ka hi naam diya maine apne pyaar ka uske liye,

ab sochta hoon kaash keh paata main usse apne dil ki baat,
aaj uske mohabbat ke chirag se roshan ho raha hota mera har din ,
meri har raat,

par ab bahut der ho chuki hai khud ko ye samjhaata hoon main,
kehta to khud ki bhool ja use,
par sach to ye hai ki aaj bhi use chaahta hoon main...
nashaa kitna hai tumhaara humein kya batayen hum,
tumhaare chahat ke sailab se hoke guzar jaayen hum,
zaraa apni sharaabi aankhon se humpe nazar to daalo,
tumhaari nazron ke teer se aaj bemaut mar jaayen hum...

Ab tum dekhoge

jo na dekha kabhi har wo cheez ab tum dekhoge,
deewano se badh ke mera pyaar ab tum dekhoge,

khudko mere liye karte sringaar ab tum dekhoge,
tanhaai me muskuraate khudko har baar ab tum dekhoge,

meri har baat pe khudko iqraar karte ab tum dekhoge,
baagon me ab firse bahaar ab tum dekhoge,

har aetbaar se badhke mera aetbaar ab tum dekhoge,
paagalpan meri aankhon me har baar ab tum dekhoge,

jo na dekha kabhi tumne aisi har baat ab tum dekhoge,
tumhaare liye mera hai pyaar beshumaar ab tum dekhoge....

Friday, September 17, 2010

Aaina kaaanch ka hi hota hai

har aaina to kaanch ka hi hota hai,
mera dil bhi kisi kaanch se kam nahi,
jab tak tum the ye sheesh mahal lagta tha,
aaj tum nahi to ye kuch tukdon se kam nahi,
ek toofan ke aane se wo mahal dheh gaya,
aaj pyaar nahi aur koi sheeshmahal nahi,

kabhi tumse milne ko hum bhi betaab the,
aaj tumhaare jaane se wo betabi rahi nahi,
kal tak tumhse hi har kali mehekti thi,
aaj tum nahi to koi phool gulaabi rahi nahi,
aaj har phool murjhaa gaya hai,
kisi baag me aaj rahi bahaar nahi,

ehsaas to aaj bhi hamaare ek se hi hain,
alfaz bhi apne ab tak koi badle nahi,
fark bas itna hai kal pyaar tha aaj dard hai,
par aaj bhi tumhaari koi baat hum bhoole nahi,
har yaad seene me dard banke sama gaya hai,
aaj tum nahi to muskuraaane ki koi wajah nahi,

kal tumhaare saath tanha the, aaj akele hai tanha,
tanhaayi ka aalam kal bhi tha aur aaj bhi badla nahi,
kal tak har mehfil tumse hi sajti thi,
aaj mehfilon me waisi rounak nahi,
kal tak jeene ki ek umang thi dil me,
aaj tum nahi to koi umang bhi nahi,

dil me tum mere aaj bhi ho,
fark bas itna hai ki tum kareeb nahi,
chaaha tha tumko khud se badhke humne,
par shayad tumhaare dil me mere liye kuch nahi,
tumhaare jaane se tut chuka hai mera "Hriday",
aaj tum nahi paas to kuch bhi hum nahi...
Kai rang duniya ke

har rang duniya ka ek nayaa rang leke aata hai,
kaun apna hai kaun paraya wahi samjhaata hai,

hum kisi ko na chah ke bhi apna samajh lete hain,
koi paraaya hote huye bhi hamaara apna ban jaata hai,

har chehra humein ek naye chehre ki yaad dilaata hai,
pehli nazar me hi koi bahut pyara lag jaata hai,

rok nahi paate hum kai baar apne dil ke jasbaaton ko,
kisi behte jharne ki tarha ye behta chala jaata hai,

kisi ke aansoo apne se lagte hai to kisi ka dard satata hai,
kabhi kabhi to dusron ke dard se apna dil hi tadap jaata hai,

aaina to bas ek dhoka hai jo hamaare hi kai chehre dikhata hai,
dil ki suno, hum kya hain ye bas hamaara dil humein bataata hai...
Hamaare aansuon ka rishta

hamaare aansuon ka rishta yun humse ban gaya,
aankhon se behta raha aur dil ko bheego gaya,

bheege huye dil ke mere dhadkane bhi chup si hain,
tumhaara hi ghum tha wo jo ghaayal hume kar gaya,

aankh bhi geele se hain, honth bhi bheege se hain,
aankhon ka hi paani tha jo honthon ko bheego gaya,

aansuon ko samjha tha moti, pyaar ko samjha tha dil,
jise humne samjha tha apna, wahi humein thukra gaya,

kehte tum main hoon tumhaari, mujhse tumko pyaar hai,
tumhara hi ghum hai jo mere har din ko raat kar gaya,

tumse hi roshan kiya tha apne ghar ka har chiraag,
tum nahi to kuch nahi, har chiraag bhi ab bujh gaya,

waqt ka ye khel hai sab, khela bhi usne khub hai,
gairon ko apne kareeb laake, apno ko paraaya kar gaya,

kuch bachi si saanse thi, kuch ruke se dhadkan bhi,
tumhaare jaane se dekho tumhaara "Hriday" hi mar gaya....
Kuch anchaahe rishte

ye rishte hi to hain jo pareshan karte hain,
ek se judna hai aur ek ke tutne se darte hain,

khoon ke rishten bhulake bagawat karte hain,
kisi anjaan ka haath pakadke aage badhte hain,

aasaan nahi hota ki bhool jaayen saare rishton ko,
dil pe paththar rakh ke bhi log ye kaam karte hain,

kuch rishte jinki buniyaad hi aakarshan pe hoti hai,
un rishton ke liye log apna ghar barbaad karte hain,

dushman nahi hain maata pita jo humein samjhaate hain,
par fir bhi apne karam se hum unka dil toda karte hain.....
Rok lo use

sabke raaste hain alag , sabki manzil hai alag,
jaate huye musafir ko kaun rok paaya hai bhala,

par ye na bhoolo ki duniya bahut jyada badi nahi,
jise milna hoga wo zindagi me mil jaayega kahin,

tum bhi yahin ho, wo bhi yahin is duniya me hai,
chalte chalte usse mulaqaat ho jaayegi fir kahin,

par kya pata tab ye haalaat na rahe aur na ye waqt,
wo kisi aur ki chahat ho aur tum bhi ho aur kahin,

ho sake to rok lo use ab bhi waqt hai tumhaare paas,
ek baar jaane ke bad wo tumhaara na reh jaaye kahin...
mere aankhon me saje sapne tere hi hain,
mere hothon pe saje ghazal tere hi hain,
tu duur hoke ek pal bhi duur nahi mujhse,
dil to mera hai par dhadkan tere hi hain...
Mar jaayenge tum bin

na jao humse duur itna ki
dhundte reh jaayen hum,
na paake tumhe kareeb apne
bas tadapte reh jaayen hum,

rehna aankhon me hamaare,
mere khwaabon ko sajaana tum,
basa lena mujhe hothon pe,
aur mere geet gungunana tum,

na jao itna dur humse ki,
na reh paayenge tum bin,
tumse hi to meri saanse hain,
mar jaayenge hum tum bin...
Apne

ye safar hai zindagi ka,
kuch log mil jaate hain,
kuch bichhar jaate hain,
kuch unme aise hote hain,
bas yaab banke reh jaate hain,

saath unka saath nahi hota,
par har pal wo saath hote hain,
apne har khayaal me wo,
har pal samaaye hote hain,

aate hain khwaabon me,
haqeeqat me milte nahi,
na milke bhi wo log kabhi,
jaane kyun khaas hote hain,

haan kuch log aise hote hain,
kehne ko paraaye hote hain,
mile nahi ho chahe kabhi bhi unse,
par apne liye wo bahut apne hote hain,

haan kuch aise apne hote hain,
jo dil ke bahut kareeb hote hain,
chaho bhi agar bhulana unhe tum,
yaad banke khwaabon me aate hain,

safar me zindagi ke yahaan,
kuch log aise hote hain,
apne na hokar bhi wo yahaan,
apno jaise hi hote hain...

Samjho na

nahi ho sakte hum fir ek tum samjho na,
meri majboori ko tum zaraa samjho na,

ek zindagi tumhaari hai, ek meri hai,
raaste alag hain ab tum zaraa samjho na,

kabhi haathon me haath daale chalte the,
ab mumkin nahi wo saath tum zaraa samjho na,

bandhi ho tum kisi bandhan me aaj,
apne us rishte ko tum zaraa samjho na,

main bhi bandh chuka hoon kahin aur,
tum mere halaat bhi zaraa samjho na,

ab bahut dur nikal chuke hain hum ek dusre se,
hamaare bich ki us doori ko tum zaraa samjho na,

band hain saare raaste ab mere lautne ke,
dil se nahi dimaag se tum zaraa samjho na,

bhool jao tum mujhe isi me dono ki bhalai hai,
tum hamaare majbooriyon ko zaraa samjho na ...

Tuesday, September 14, 2010

Bhool jao

bhool jao ki main kabhi tumse mila bhi tha,
bhool jao ki hamaare bich kuch hua bhi tha,

mitaake mujhe apne dilo dimaag se tum aaj,
bhool jao ki mera koi astitva bhi kahin tha,

na karo itna pyaar ki na dur ja sakun tumse,
bhool jao ki tumhe mujhse pyaar hua bhi tha,

baandh rakha hai tumne mujhe is tarha khudse,
na to paas hoon tumhaare na duur jaa paata hoon,

kar lo khud ko azaad har bandhan se tum aaj,
bhool jao ki mere jaisa koi tumhaara apna bhi tha,

tumhe aaj mere liye mujh ko bhulaana hoga,
bhool jao ki mujhsa koi tumhaari zindagi me tha,

bhool jao ki main kabhi tumse mila bhi tha,
bhool jao ki hamaare bich kuch hua bhi tha...
Tujhse pyaar kiye jate hain

kuch kahaani apni bhi aisi hai,
wo bilkul tum jaisi hai,

julfon me khoke bhul jate hain sab,
kya zamana hai kya seemayen hain,

aankhon me dub ke tumhaare hosh nahi rehta,
bas un aankhon me dubte chale jaate hain,

dikhta nahi humein wo sindoor tere maang ka,
tujhe baahon me bharke hum apna samajh lete hain,

bhool jate hain ki kya daayre hain apne,
tere hoke bas tujhme samaa jaate hain,

har raat agar hum tera intezaar karte hain to,
suraj ke nikalne se hum darte bhi hain,

ye koi chori nahi hai, pyaar hi hai,
par hum teri badnaami se bhi darte hain,

nahi rakha jaata kaaboo khud pe tujhse milkar,
tere mohabbat me hum behte chale jaate hain,

har pal mehsoos karte hain tere saanso ki mehek,
aur usi khushboo se hum bhi mehek jaate hain,

maaloom hai hume ki jo ho raha hai wo sahi nahi,
par jaanke bhi hum galtiyaan karte chale jaate hain,

kaise roke hum khud ko, kaise samjhaayen is dil ko,
hum to bas teri mohabbat me tujhse pyaar kiye jaate hain....
Aadat

roz roz tumse baat karne ki aadat hai meri,
tumhaari awaaz me doob jaane ki aadat hai meri,
awaaz meri kaano se lagana tumhe bhi pasand hai na,
tumhe bhi ghanto mujhse baat karne ki aadat hai na,

tumhaari muskaan ko yaad karne ki aadat hai meri,
yaad kar ke tumhe muskuraane ki aadat hai meri,
tum bhi to meri muskaan pe mar mit_ti ho na,
mujhe dekh tumhe bhi muskuraane ki aadat hai na,

tumhaari raahon pe aankhen bichhana aadat hai meri,
tumhaare intezaar me ghadiyaan bitaana aadat hai meri,
tum bhi to meri raahon pe palken bichhaye baithi ho na,
tumhe bhi kuch kuch meri tarha tadapne ki aadat hai na,

meri har aadat tumse hi shuru hoti hai na,
meri har aadat tumpe hi khatam hoti hai na,
dekha hai jab se tumhe tum meri aadat ban gayi ho,
aur mujhe apna samajhna tumhaari bhi aadat hai na,

bolo na meri jana, ye mera paagalpan hi hai na,
kaho na ek baar, ye mera deewaana pan hi hai na,
main jo tumhe chahta hoon sabse badk ke itna,
meri ye mohabbat bhi to meri aadat hi hai na,

kaho na meri jaana meri mohabbat meri aadat hai na,
keh do na, tumhe chaahna meri ek aadat hi hai na...
Aadat si ho gayi hai

tumhe yaadon me basaake rakhne ki chaahat si ho gai hai,
kuch is tarha pyaar karne ki hamaari aadat si ho gayi hai,

pehle hum doston ke saath haste khikhilaate the,
ab tumhe yaad kar muskuraane ki aadat si ho gai hai,

kabhi tanhaayi se hum ghabraate the jahaan,
ab tumhe mehsoos karne ki aadat si ho gayi hai,

kabhi apni parchaayi se dur bhaaga karte the,
ab tumhe apni parchhai samajhne ki aadat si ho gayi hai,

ab tumhaari chahat meri ibadat si ho gayi hai,
ab meri mohabbat hi meri aadat si ho gayi hai...
Tumhaare pyaar ko dekh

tumhaare is pyaar ko dekh
mujhe bhi pyaar aa raha hai aaj
tumhe baahon me bhar ke apne
fir gum ho jaane ka mann hai aaj,

tumhaari aankhon ki chamak bata rahi hai
ki kitna pyaar karti ho tum mujhse
lagta nahi ki ye pyaar puraana hai apna
lag raha hai meri dulhan ban ke aayi ho aaj,

ye khila rang tumaahare aankhon ka
gulaab ki pankhudiyon se tumhaare honth hai aaj
maang ki sindoor kuch kuch bikhri hui si
aur tumhaari khuli julfon me kuch jaadu hai aaj,

baithe rahon yunhi mere kareeb tum
tum yahin khoye rahon mere khayaalon me aaj
khoke mujhme bhool jaao saari duniya ko
paas mere baith ke yunhi muskura lo aaj...

Faasle

aajao apne bich ke faaslon ko mitaate hain,
ek dusre ke hum aur kareeb chale aate hain,

tum meri aankhon be doob jaao aaj ek baar,
hum aaj apne aankhon ko tumse sajaate hain,

tumhaare paas hote hain to tum me kho jaate hain,
tumse dur hoke bas tumhaare geet gungunaate hain,

rishton me utaar chadhaw aate hi rehte hain,
yahi baat hum tumhe har baar samjhaate hain,

kyun chhoti chhoti baaton pe rooth jaati ho,
hum to tumhe khud se bhi zyaada chahte hain...
Mera deewaanapan

ye bahaaw meri mohabbat ka hai,
tumhe mere sang bahake le jaayega,

tumhaare hothon se jo muskaan gum hai,
use fir se tumhaare hothon ko de jaayega,

dekhti to tum mere deewaanepan ko har lamha meri aankhon me,
yahi deewaanapan tumhe mere sang deewaana kar jaayega,

mehsoos to karte ho meri betaabi meri manchali baaton me,
ek din yahi betaabi tumhe mere liye betaab kar jaayega,

aaj meri baatein yaad karne se tumhare lab khilte hain,
mera lab tumhaare labo ko chhu ke unhe gulab kar jaayega,

na pighalne do apne jism ko tum aaj is tarha,
meri baahon me aake wo jannat mehsoos kar jaayega,

haan tum dekhti reh jaogi meri aankhon ko gaur se,
aur ye aashiq aankhon ke zariye tumhaare dil me utar jaayega,

ek baar fir se mera ye paagalpan tumhaare liye jawan hai,
tumse milke mera deewaanapan tumhe bhi paagal kar jaayega....
Yaadon me aake sataaya na karo

dil ki baaton ko yun dil se lagaaya na karo,
meri yaadon me kho ke ye waqt zaaya na karo,

hum to bahut duur ja chuke hain tumse ab,
hamaari bewafai ke nagme ab gaaya na karo,

wo ek waqt tha jab tumse main tha aur mujhse tum thi,
hamaare pyaar ke kisse ab gairon ko bataaya na karo,

maaloom hai humein ki hamara saath mumkin nahi ab,
tum ab is tarha khayaalon me aake sataaya na karo,

main bas tumhaare yaadon ke sahaare hi to zinda hoon,
tumhe main bhul jaaun ye tum mujhe samjhaaya na karo,

geet tumhaare kabhi mere hothon pe saja karte the,
aaj tum un geeton ko tanhaayi me gungunaaya na karo...

Tum dard dhunda karti ho

hum to kabka apni zindagi se mita chuke hain tumko,
tumhi ho jo kore kaagaz pe mera naam dhunda karti ho,

humein to ye bhi yaad nahi ab ki tum kaisi dikhti thi,
tum aaj bhi har chehre me mera chehra dhunda karti ho,

hum nahi dete tum ko koi dard, hum to kareeb hi nahi,
tum hi har zakhm kured ke unme dard dhunda karti ho,

ek ghar hai tumhaara, kai rishte hain, kai apne hain,
par kyun tum un apno me mujh jaisa koi dhunda karti ho,

main nahi chaahta ki ek pal ke liye bhi tum mujhe yaad karo,
par tum hi ho jo ab bhi har jagah mera pyaar dhunda karti ho....

Friday, September 10, 2010

Khushiyon ko fir se paa liya

pake tumhe humne hai saara jahaan paa liya,
aaj humne apne dil se har dard ko bhula diya,

sochte the hum yahi ki bahut humne ji liya,
milke tumse socha ye ki jo jiya wo kya jiya,

dard me hi jeete the, dard hi leke sote the,
apni aankhon se tha humne khwaabon ko juda kiya,

ab kadam me josh hai, manzil bhi ab kareeb hai,
paake tumko hume to khushiyon ko fir se pa lia...

mujhe banaake saya nahi tumhe saathi banake chalna hai,
tumhaare har kadam se ab mujhe kadam milaake chalna hai...
tujhe aaj bhi meri yaadein aake tadpati hogi na,
soch ke mere baare mein tu machal jaati hogi na,

mehsooss karke mujhe apne khayaalo me tu bhi,
madhoshi me sanubdar me doob to jaati hogi na...
Duniya se dur jaayen kahin

leke haath haathon me hum baith jaayen kahin,
keh de dil baat hum khud ko aaj rokey nahin,

tum kaho kuch apni baat, apni baat hum kahen,
keh le saari baatein hum kisi ko tokey nahin,

ghadi ye milan ki hai, tute do dilon ki hai,
aa jao apne dil se dil aaj hum jodey yahin,

bheegi in barsaaton me humein aaj bheeg jaane do,
jaane kahaan thi abhi tak har pal hum soche yahin,

duniya ki is bheed se hum dur chale jaayen kahin,
hum hi dono saath me hon aur koi wahaan ho nahin...
jaaate jaate raah pe kisi parchhai pe nazar padi thi,
mudke dekha pichhe to parchhayi ban ke tum khadi thi...
asar tumhaari judai ka har asar beasar kar gaya,
toofaan ek dard ka mere dil se ho ke guzar gaya,

roka tha khud ko maine, samjhaane ki koshish bhi ki,
jaane kyun tumhaari yaad me ye aankh fir bhar gaya...
Saath tumhaare hum hain

tum tanha nahi ho saath tumhaare hum hain,
beh jaane do aansuon ko aankhen to nam hain,

maut bahut asaan hai jeena bahut mushkil,
jee lo zindagi ko jab tak saath hum hain,

bereham hai duniyaa saari bereham hain log,
pyaar karne waalon pe karte wo sitam hain,

aajao kuch pal saath baitho baat humse kar lo,
tod do sab bandishein aur jo bhi bandhan hain,

kya pata kal ho na ho aaj jo mausam hain,
baant lo humse tum dil me jo bhi gum hain...
Ek Khamoshi

ek khamoshi hamaare darmiyaan dooriyaan badha gaya,
tumko mujhse door aur mujhko tumse door kar gaya,

kaanch ka mahal khada kiya tha humne mohabbat me,
wo hawaa ke jhaunke se kaise tut ke bikhar gayaa,

aankhon me sajaake rakha tha khwaab banaake jisko,
wo hamaari aankhon ko aansuon se samundar kar gaya,

zindagi thi tum meri, tumse hi meri saanse thi,
tumhaare jaane se "hriday" jeete ji aaj mar gaya...
Aaj sab keh jaane do

na roko in aansuon ko ki beh jaane do,
dil me jo bhi hai aaj sab keh jaane do,

badi mushkil se tuta hai baandh dard ka,
aaj har dard ko aansuon me beh jaane do,

kuch der aur sahi hum dil ki baat kar le,
khud ko tum aaj meri baahon me reh jaane do,

na roko khud ko tum aaj kuch bhi karne se,
is toofan se har deewaar dheh jaane do,

kya pata fir mauka na mile kuch kehna ka,
dil me jo bhi hai aaj sab keh jaane do...
Isi ka mujhe afsos hai

main paake tumhe paa na saka isi ka mujhe afsos hai,
pyaar tumhaara nibha na saka isi ka mujhe afsos hai,

saath mera paake tumne use umra bhar ka saath samjha,
saath main nibha na saka bas isi ka mujhe afsos hai,

mujhpe aetbaar tha tumhe, mujhse hi tumhe pyaar tha,
us aetbaar ko toda hai maine bas isi ka afsos hai,

haari hui thi apno se tum, mujhko tumne apna samjha,
wo apnapan main nibha na saka isi ka mujhe afsos hai,

jaana tha mujhe chhod ke jab haar ke sab kasht se,
tab rok main tumko sakaa na isi ka mujhe afsos hai,

kahaa tha kuch is tarha ki jaana hai kisi aur ghar,
samajh na saka us baat ko bas isi ka mujhe afsos hai,

chali gayi jab dur mujhse mujhko laga bewafa ho hum,
dard tumhaara samajh na sakaa isi ka mujhe afsos hai,

pyaar hi kiya tha tumse aur aaj bhi karta hoon main,
par us pyaar ko nibha na saka isi ka mujhe afsos hai,

tum hi meri aarzoo thi, bas tum hi meri zindagi thi,
par tumko hi samajh na saka isi ka mujhe afsos hai....
Mohabbat me dil judaa huwa nahi karte

kuch sawaalon ke koi jawaab huwa nahi karte,
mohabbat me kabhi dil juda huwa nahi karte,

kya hua jo hum aaj ek dusre ke kareeb nahi hain,
judai jismon ki hoti hai, aatma juda huwa nahi karte,

milna hamaara ek khoobsurat sapne ki tarha hi tha,
sapno me kabhi ruswaai ki baatein kiya nahi karte,

aankhon me rakha hai jis chehre ko wo dil me bhi hai,
kyun us chehre ko dil me mehsus kar khush huwa nahi karte,

tumhaare paas jo dil hai wo hamaara hi to hai,
dil kisi ka apne paas rakhke aansuon se geele huwa nahi karte...

Ek anjaana sa chehra

ek anjaana sa chehra kuch apna sa lagne laga,
koi to hai aisa jise main apna samajhne laga,
dekhi hai tasveer uski, usko kabhi dekha nahi,
ab to khayalon me bhi uska chehra dikhne laga,

mile the zindagi ke mod pe yun chalte chalte,
kisi ki baaton me main apni awaaz sunne laga,
na mile kabhi, na pata wo kaisi lagti hogi,
par uske hone se ab har samaa mehekne laga,

hamare khaton ka silsila kuch is tarha shuru hua,
wo mujhse apni baat aur main usse apni kehne laga,
apne dil ki har baat ko hum dil me band na rakhke,
wo mujhse kehne lagi aur main usse bhi kehne laga,

jaane ye kaisa rishta hai, jaane kaisa naata hai,
ab to raat bhar humein jagne ka mazaa aane laga,
dard ki deewaaron me kuch is tarha ghira hua tha,
deewaarein sab dheh gayi aur dard dur jaane laga,

ab har subah uske hi naam, shaam bhi uska hua,
waqt ka hi khel hai sab, waqt bhi jaane laga,
har ghadi uski hi baatein, har ghadi uski hi yaadein,
mumkin nahi ye saath pyaare main khud ko samjhaane laga,

tanha thi har raat meri, tanha hi har din bhi tha,
ab to us tanhaayi ka bhi mujhko mazaa aane laga,
saath paake us ajnabi ka, achcha sa lagne laga,
kuch anjaana sa wo chehra kuch apna sa lagne laga,

koi to hai aisa jise main apna samajhne laga,
ek anjaana sa chehra kuch apna sa lagne laga....
Jaane kab aaoge tum

dekho ek nazar meri aankhon me chahat paoge tum,
dunga itna pyaar ki har dard ko bhool jaoge tum,

bhulaake ateet ko jab meri baahon me aaoge tum,
mere mohabbat ki bhini mehek se mehek jaoge tum,

kab tak apne dil ko kuch is tarha samjhaaoge tum,
mujh jaisa paagal aashiq is jahaan me na paoge tum,

paake meri mohabbat ek baar fir se khil jaoge tum,
mujhse juda hoke tab ek pal bhi na reh paoge tum,

aajao yun kab tak is deewaane ko aur tadpaoge tum,
aankhen bichaaye baitha hoon jaane kab aaoge tum...
Teri gali se jab wo guzarta hoga

jhaunka hawa ka jab bhi teri gali se hoke guzarta hoga,
dekh ke tere husn ke jalwe wo bhi aahen bharta hoga,

chhoke tere nashile badan ko nashe me wo jhoomta hoga,
paagal ho jaata hoga jab hothon ke pyaale chumta hoga,

dekh ke tere reshmi baalon ko kuch pal wahaan theherta hoga,
fir madmast nashe me hoke tere baalon se ho ke guzarta hoga,

chaand bhi tere husn ke aage har pal paani bharta hoga,
tere rang me rang jaane ko tere aangan me wo theherta hoga,

suraj bhi teri lau ke aage jalan ki jwaala me dehekta hoga,
phool gulaab ka tujhko chhuke teri khushboo se mehekta hoga,

dekh ke tujhke koi paagal aashiq kabhi sajta aur sanwarta hoga,
ghazal banke uska paagalpan uski kalam se ho ke guzarta hoga...
Shayad humein fir se pyaar hone laga hai

fir se hamaara ye jahaan sanwarne laga hai,
jab se koi humein apna sa lagne laga hai,
bhool gaye the jeena kise kehte hain,
fir humein jeene me mazaa aane laga hai,

har gulaab ek baar fir mehekne laga hai,
baagon me fir se bahaar aaane laga hai,
fizaon me kuch aisi rangat hai aaj ki,
har samaa indradhanush lagne laga hai,

koi humein hamaare apno sa lagne laga hai,
kisi apme ka saath pyaara lagne laga hai,
kisi ki pyaar bhari baaton se laga aisa,
shayad humein fir se pyaar hone laga hai,

shayad humein fir ye pyaar hone laga hai,
shayad humein fir ye pyaar hone laga hai...
Fir tujhpe koi ghazal likh jaunga

phoolon ki bagiyaa ko main kya sajaunga,
chaandni kya hai chaand ko kya bataunga,
asar tera aisa hai mere dilo dimaag pe,
ki aaj fir tujhpe koi gazal likh jaunga,

khwaabon me aake tujhe kangan pehnaunga,
haathon ko tere apne hothon se lagaunga,
rajanigandha jaisi mehek tere saanso ki,
us mehek se main khud bhi mehek jaunga,

main tere pyar ke saagar me doob jaunga,
jab main tujhe apne seene se lagaunga,
tadap uthegi tu bhi meri mohabbat me,
kuch is tarha tujhe paagal kar jaunga,

pyaar apna ji bharke tujh pe lutaunga,
mai kaanha ban tujhe baansuri banaunga,
hothon se tujhe apne lagaake main,
apne dhun se main tera dil behlaunga,

main is jahaaan se tujhe dur le jaunga,
ek khoobsurat sa apna jahaan basaunga,
chhoot jaaye agar saath bich safar me,
main agle janam me tera ban ke aaunga...

Sunday, September 5, 2010

Mera khushiyon ki qurbaani maange

mere bachche mere wafaa ki nishaani maange,
kaagaz pe apne naam meri har kahaani maange,

paseene se joda har wo cheez unke liye hi hai,
par wo apne naam meri har cheez puraani maange,

khud ko jalaake jinke sapne roshan kiye hain,
jigar ke tukde mere khushiyon ki qurbaani maange,

ab nahi jhel sakta is umar me itna dard main,
zindagi doobne ke liye dariya ka paani maange,

jinko apna sahaara samajha wo apne na rahe,
mera khoon firse apne liye wo rawaani maange,

ab nahi chal sakta main bina kisi sahaare ke,
ye haalat mere liye waapas meri jawaani maange...
Bachpan ka pyaar

mujhe aaj bhi wo bachpan ka pyaar yaad aata hai,
kitaab ke panno me kisi ka chehra nazar aata hai,

wo maasum si muskaan, wo aakhon ka chamakta paani,
aaj bhi un aankhon ka jhilmilaana yaad aata hai,

wo kaagaz ki kashti, wo baarish ka behta paani,
behte paani me kashti ka beh jaana yaad aata hai,

haan mujhe mere saathi ka chehra nazar aata hai,
aaj bhi mujhe mere bachpan ka pyaar yaad aata hai,

gudde gudiyon ka khel, wo unka khel me vyah rachana,
saari ke tukdon se unke kapde banana yaad aata hai,

wo khilaune bachpan ke, wo kahaani bachpan ke,
un khilauno se khel ke din bitaana yaad aata hai,

khaake thokar agar main girta, uska aake mujhe uthaana,
mere aansuon pe uska tadapna mujhe aaj bhi yaad aata hai,

wo maasum sa chehra, wo aankhon se behta paani,
uske rooth jaane pe mera wo manaana yaad aata hai,

kabhi uske ghar jaana, kabhi uska mere ghar aana,
ghanto ek dusre ke saath khilkhilaana yaad aata hai,

maa se kehke pasand ke uske kuch banaana, saath khaana,
wo ek dusre se apni har pasand bataana yaad aata hai,

haathon pe banaate dolar aur jolly, wo statue kehna,
pyaar se ek dusre se baatein karna yaad aata hai,

wo bachpan ka pyaar mujhe aaj bhi yaad aata hai,
mere saathi ka chehra mujhe ab bhi nazar aata hai,

wo gungunaana , wo gaane gana saath milke,
wo saath uske school jaana yaad aata hai,

tiffin me laana pasand ki cheezen roz badalke,
aur unhe baantke school me khaana yaad aata hai,

pyaar se uske mere gaalon pe haath rakhna,
chehre se mere baalon ko hataana yaad aata hai,

aaj bhi mujhe wo guzra zamaana yaad aata hai,
mere bachpan ke dost ka muskuraana yaad aata hai,

wo kaagaz ki kashti, wo baarish ka behta paani,
behte paani me kashti ka beh jaana yaad aata hai,

haan mujhe mere saathi ka chehra nazar aata hai,
aaj bhi mujhe mere bachpan ka pyaar yaad aata hai...
Guru ko naman

apse hi sikha , aapse hi jaana,
aap hi ko humne guru hai maana,
sikha hai sab kuch aapse humne,
kalam ka matlab aapse hai jaana,

maata guru hain, pita bhi guru hain,
vidyalay ke adhyapak bhi guru hain,
jisse bhi kuch sikha hai humne,
hamaare liye har wo shaks guru hain,

sikha bachpan me ungli pakadna,
kuch din me sikha humne chanla,
girte they hum kai baar magar,
sikha girke har baar sambhalna,

doston se bhi sikha hai bahut kuch,
zindagi ka sahi matlab pehchana,
kya hoti hai sachchi mohabbat,
ye apne mehboob se hai jaana,

chidiya se pankh failaana sikha,
baadal se humne garajna sikha,
dost guru hai, mehboob guru hai,
sabse humne jeena hai sikha,

guru ka matlab bhagwaan bhi hota,
jisko hum pooja hain karte,
bhagwaan ko humne dekha nahi hai,
tabhi guru ko sau naman hain karte...
Ghum ke siwa bhi afsaane bahut hain

kisi ne saath tera chhoda to ghum nahi,
shamaa ke aaj bhi parwaane bahut hain,

kisi ke aansuon ko pochh le aaj tu,
dilon me aaj bhi veeraane bahut hain,

kisi pe pyaar ki baarish tu kar de,
yahaan pe aaj registaane bahut hain,

khud ko bhulaake auron se pyaar kar,
dard ke yahaan paimaane bahut hain,

bhoolake ghum ko aaj tu muskuraa de,
ghum se siwa bhi afsaane bahut hain...
Chaand jab ttum ko dekhta hoga

aaj bhi wo chaaand jab tumko dekhta hoga,
apne aas paas ke sitaaron se kehta hoga,

"dekh ek chaand us zameen par bhi hai",
wo bhi tumhe paane ki hasrat rakhta hoga,

dekh ke wo tumhe yahaan sajte sanwarte,
tumhaari mohabbat ke liye tarasta hoga,

baahon me bharke pyaar karne ke liye,
wahaan uska bhi dil dhadakta hoga,

jaane kitne deewaane aaj bhi marte honge,
jab tumhare kandhe se dupatta sarakta hoga,

dur nahi wo din jab hum kareeb honge, shayad
us din ke liye tumhara bhi dil tadapta hoga....

Friday, September 3, 2010

Zindagi tere naam karunga

tere liye khushnuma main ek nahi har shaam karunga,
apni saansen nahi apni zindagi bhi tere naam karunga,

apni mohabbat ka main kuch aisa haseen anjaam karunga,
tu khil jaaye gulaab ki tarha kuch aisa kaam karunga,

ab to main dil ki har hasrat tere hi naam karunga,
apni mohabbat ka iqraar duniya me sare aam karunga,

ab tak jo kar nahi paaya kaam wo saare tamaam karunga,
apne pyaar ki khushboo se tujhe main gulfam karunga,

apni saansen nahi apni zindagi bhi tere naam karunga,
tu khil jaaye gulaab ki tarha kuch aisa kaam karunga...

Tujhko ghazal kar dun

samaa jaun is tarha tujhme main ki tujhe poori kar dun,
apne mohabbat ki mehek se main tujhe kasturi kar dun,

teri surmayi aankhon ko chhoo ke main unme kaajal bhar dun,
teri junfon se main is tarha khelu ki tujhe paagal kar dun,

bhar ke tujhe baahon me apne main tujhe jal jal kar dun,
apne mohabbat ke liye tujhe main deewani har pal kar dun,

hamaari mohabbat ki lau se aaj roshan har chiraag kar dun,
is tarha rang jaun tere rang me ki laal har gulaab kar dun,

main chhoo ke gulaabi hothon ko tujhko ghazal kar dun,
tujhe seene se lagaake teri har hasrat muqammal kar dun...

Tere liye kahaani ban haun main

doori hamaare darmiyaan bahut jyada nahi hai,
tum pukaaro mujhe aur dauda chala aun main,

tumhaare saanson ki mehek se madhosh hoon main itna,
ki us mehek me doobne ko khincha chala aaun main,

julfon ke ghane baadal chaayen hain aasmaan pe,
baras jaane do pyaar unse aur unme bheeg jaun main,

meri to har baat shuru hoti hai tumhaare naam se,
tum kaho to tumhaare liye kahaani hi ban jaun main,

wo beete huye pal jo raaton ko yaad aate hain,
un haseen ehsaason ko bhi apne sang le aaun main,

sharbati jo honth hain wo geet gungunaate hain,
pyaar ki ghazal ban un hothon pe bas jaun main,

tum kaho to aaj hi main bandhan saare tod dun,
dil se agar tum pukaaro paas chala aaun main.

na karo marne ki baat tum is tarha mohabbat me,
tumhaare marne se pehle kyun na mit jaun main...
Tumhaara saath hum nibhaate hain

tumhaaari yahi baatein humein kamzor kar deti hain,
har baar ye humein tumhaare kareeb bula leti hain,

chaahti ho tum humein tumhaari dhadkane kehti hain,
par tumhaari dhadkane to hamaare dil me rehti hain,

tumhaari or kadam badhaate hain kabhi ruk jaate hain,
hum apne dil ko mohabbat ka anjaam samjhaate hain,

par ye nasamajh samajhna hi nahi chahta hamaari baat,
aur besudh se ye kadam tumhaari orh barh jaate hain,

paake tumhe hum har baar apna har dard bhool jaate hain,
yahi wajah hai ki tumhaara saath hum aaj tak nibhaate hain....
Chaahe poora koi khwaab na ho

teri mohabbat ke nashe me saara jahaan madhosh hai aaj,
jo khilaaf tha mohabbat ka wo jahaan khaamosh hai aaj,

ab to mohabbat karne waale bekhauff mohabbat karenge,
chaahe ban jaaye dushman zamana ab na kisi se darenge,

aajao ki ye rut aayi hai hamare mohabbat ke doob jaane ki,
saanson ko saanson me samaane do baari hai ek ho jaane ki,

un sawaalon ko ab dil me hi dafn rehne do jinka koi jawaab na ho,
ji lo zindagi chaar pal ki muskuraake chaahe poora koi khwaab na ho...

Aao duriyaan mita den hum

tere wafaaon ki khaatir hi to ji rahe hain hum,
warna is jism me dard hai jyaada aur saanse hain kum,

aao apne bich ki dooriyon ko mita den hum,
do kadam tum chalo aur do kadam chalen hum,

mile un galiyon me jahaan khai thi kasme,
un saari kasmon ko aao poora karein hum,

aao aaj tod de saari bandishein is zamaane ki,
bhulaake sab ek duje ki panaaho me rahein hum,

sahi nahi jaati ab ye dard-e-judai humse,
ek duje me samaake ek duje ko poora karein hum...
Ji Karta hai

tumhaare kareeb aa jaane ka ji karta hai,
tumhe apna banaa jaane ka ji karta hai,
kab se banjar hai pyaar ki ye dharti meri,
tumhare pyaar me bheeg jaane ka ji karta hai,

tumhaare hothon ko chhoo jaane ka ji karta hai,
tumhaari julfon me gum ho jaane ka ji karta hai,
gehri tumhaari aankhen kisi samundar se kam to nahi,
un aankhon ki gehraayi me doob jaane ka ji karta hai,

tumhaare sang humein behek jaane ka ji karta hai,
tumhaari khushboo se mehek jaane ka ji karta hai,
na koi roke ab humein, na koi toke ab humein,
mohabbat me hadd se guzar jaane ka ji karta hai,

haan ek baar fir mohabbat aazmaane ka ji karta hai,
khoke sab kuch apna tumhe paane ka ji karta hai,
kuch to asar hai tumhaare chahat ka ki kya kahen,
humein do jism se ek jaan ho jaane ka ji karta hai...
Tum bahut yaad aate ho - II

har shaam aake tum mere ghar ko roshan kar jaate ho,
raaton ko jab tanha sota hoon to tum aa jaate ho,
aankhen is dar se nahi kholta ki sapna tut na jaaye,
chaandni raato me aake mere aankhon me bas jaate ho,

suraj ki har kiran ke saath tum mere ghar aa jaate ho,
behti hawaon me ghulke tum mere aangan ko mehkaate ho,
aankhen bichhaye baitha hoon raahon pe ki tum aaoge,
aate nahi haqeeqat me par khwaab banke aa jaate ho,

tum aake khwaabon me mere hothon ko chhoo jaate ho,
lagake aag mere tan mann me tum bas muskuraate ho,
koshish karta hoon agar baahon me tumhe bharne ki,
tum khwaabon ko chhod jaane kahaan chhup jaate ho,

ae sanam apni in adaaon se tum mujhe bahut tadpaate ho,
wo tum hi ho jo mujhe har saans ke saath yaad aate ho,

kabhi tanhaayi me to kabhi bheed me yaad aate ho,
mere mehboob tum mujhe aaj bhi bahut yaad aate ho...
Log bhool jaate hain

jisne har mehfil ko sajaaya tha,
aaj usi ki mehfil me tanhaayi hai,
jisne kabhi sabko hasna sikhaya tha,
aaj usi ke dil me dard-e-judaai hai,

kya rishtey aise nibhaaye jaate hain,
koi rota hai to use aur rulaate hain,
koshish nahi karte koi samjhaane ki,
zakhmo pe har koi namak lagaate hain,

kisi ke bhi khushi me shaamil ho jaate hain,
kyun nahi koi ghum me saath nibhaate hain,
kya itna mushkil hai dosti nibhana, ki log
jarurat ke samay saath chhod jaate hain,

main ye nahi kehta ki aake saahnubhuti den,
par jo rota hai usko kyun nahi hasaate hain,
apne khushiyon me log aise doobe rehte hain,
ki apno ke dard ko bhi we bhool jaate hain,

hasne ke liye bas hothon ki jarurt hoti hai,
bas un hothon ko failaana bhool jaate hain,
kehne ke liye hazaaron dost hote hain magar,
wo waqt pe dosti nibhaana bhool jaate hain...
Tum bahut yaad aate ho

kabhi tanhaayi me to kabhi bheed me yaad aate ho,
mere mehboob tum mujhe aaj bhi bahut yaad aate ho,

har din tumse shuru hoke tumpe hi khatam hota tha,
aaj bhi tum mujhe puraane dino ki yaad dilaate ho,

jin raahon pe hum tumhaara haath thaame chalte the,
aaj un sooni raahon pe tum apna chehra dikhaate ho,

aaj bhi mehsoos karta hoon tumhaare badan ki khushbu,
tum aaj hawaon me ghulke meri saanson ko mehkaate ho,

tumse juda hoke bhi ab tak tumse juda na ho saka,
mere dil me ummeed aur aankhon me khwaab sajaate ho,

aake khamoshi se mere kaano me kuch keh jaate ho,
mere mehboob tum mujhe aaj bhi bahut yaad aate ho...